ya KHuda
saare afkār-o-aqā.ed ke tilism
saare asnām-e-ḳhayāl
ham ne vo but-shikanī kī hai ki mismār haiñ sab
apne ghar baar kī mahfūz fasīleñ ham ne
yuuñ girā.ī haiñ ki ab
dūr-o-nazdīk kī har tund havā
sab charāġhoñ ko bas ik phūñk meñ gul kar jaa.e
ham ki har silsila-o-qaid kī zanjīr se āzād hue
aise majlis ke makīñ haiñ ki jahāñ
koī darvāza koī rauzan-e-dīvār nahīñ
yā ḳhudā
koī ġham aisā ki har ġham ko subuksār kare
koī aag aisī ki har aag ko ḳhāshāk kare
koī mafhūm koī naqsh-e-tamannā ki jise
apne dil-o-jāñ kā lahū nazr karūñ
surḳh-rū ho ke kahūñ
ziist kī ye mohlat do-ek nafas
itnī be-rang na thī
itnī faromāya na thī
sare afkar-o-aqaed ke tilism
sare asnam-e-KHayal
hum ne wo but-shikani ki hai ki mismar hain sab
apne ghar bar ki mahfuz fasilen hum ne
yun girai hain ki ab
dur-o-nazdik ki har tund hawa
sab charaghon ko bas ek phunk mein gul kar jae
hum ki har silsila-o-qaid ki zanjir se aazad hue
aise majlis ke makin hain ki jahan
koi darwaza koi rauzan-e-diwar nahin
ya KHuda
koi gham aisa ki har gham ko subuksar kare
koi aag aisi ki har aag ko KHashak kare
koi mafhum koi naqsh-e-tamanna ki jise
apne dil-o-jaan ka lahu nazr karun
surKH-ru ho ke kahun
zist ki ye mohlat do-ek nafas
itni be-rang na thi
itni faromaya na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.