yaad
ai sabā chāñdnī se kah denā
yaad use sub.h-o-shām karte haiñ
ab kahāñ hai hamāre dil kā sukūñ
ġham meñ Duube kalām karte haiñ
dil bahut be-qarār rahtā hai
Thahar jaa.e kabhī kabhī dhaḌkan
yaad aatī hai us kī shām-o-sahar
ham ko bhātā kahāñ hai ab sāvan
ashk āñkhoñ ke ai mire dilbar
dil ke hālāt aam karte haiñ
luT ga.e zindagī ke sab sapne
phir bhī ham āshiyāñ banāte haiñ
aaj patthar ke shahar meñ phir se
apnī taqdīr āzmāte haiñ
apnī ḳhushiyoñ ko apne hāthoñ se
be-vafā tere naam karte haiñ
ai sabā chāñdnī se kah denā
yaad use sub.h-o-shām karte haiñ
ai saba chandni se kah dena
yaad use subh-o-sham karte hain
ab kahan hai hamare dil ka sukun
gham mein Dube kalam karte hain
dil bahut be-qarar rahta hai
Thahar jae kabhi kabhi dhaDkan
yaad aati hai us ki sham-o-sahar
hum ko bhata kahan hai ab sawan
ashk aankhon ke ai mere dilbar
dil ke haalat aam karte hain
luT gae zindagi ke sab sapne
phir bhi hum aashiyan banate hain
aaj patthar ke shahar mein phir se
apni taqdir aazmate hain
apni KHushiyon ko apne hathon se
be-wafa tere nam karte hain
ai saba chandni se kah dena
yaad use subh-o-sham karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.