yaad-dahani
andhī raat ke aate hī
sab chup-chāp se ik goshe meñ simaT ga.e
par maiñ ne apnī kuTiyā kī tārīkī se jañg kī Thānī
ḳhud ko ik maTkī ke diye meñ Dhaal diyā
tab chhoTe se āñgan meñ nannhī-munnī muskātī kirnoñ ne jhūmar Daalā
sab ke raushan raushan chehre hañsne lage
lekin sub.h ke jāgte hī
mirī thakī thakī sī nannhī-munnī kirnoñ ko Thokar se uḌāte
duur tak phaile hue khet meñ shabnam ke qumqume miTāte
raushnī ke ambāroñ meñ se rasta banāte
jagmag jagmag sūraj ke aivāñ kī jānib baḌhne vālo!
mere apno
mujh ko kuTiyā ke ek taaq meñ rakh kar bhuul ga.e ho??
andhi raat ke aate hi
sab chup-chap se ek goshe mein simaT gae
par main ne apni kuTiya ki tariki se jang ki Thani
KHud ko ek maTki ke diye mein Dhaal diya
tab chhoTe se aangan mein nannhi-munni muskati kirnon ne jhumar Dala
sab ke raushan raushan chehre hansne lage
lekin subh ke jagte hi
meri thaki thaki si nannhi-munni kirnon ko Thokar se uDate
dur tak phaile hue khet mein shabnam ke qumqume miTate
raushni ke ambaron mein se rasta banate
jagmag jagmag suraj ke aiwan ki jaanib baDhne walo!
mere apno
mujh ko kuTiya ke ek taq mein rakh kar bhul gae ho??
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.