yaad-e-watan
paude nahīñ akele
chhāyā hai in kī sañgī sāthī
par aatmā akelī
vaadī kī god meñ chāñd
darpan uchhāltā hai
chāñdī kā jagmagātā
vo jhilmilātā mañDvā
ḳhosha sā khil uThā hai
is meñ junūnī taarā
parbat nahīñ akele chalte
chalte haiñ saath un ke
vahshī havā ke jhoñke rele
par aatmā akelī
gaatī hai jab ye dhartī
saath is ke gūñjtī hai
ik sūrat-e-sarmadī bhī
sāgar lahar lahar meñ
belā charā rahā hai
nar-nārī ke milan kī
dariyā nahīñ akele bahte
bahtī haiñ saath un ke
maujeñ
in kī
par aatmā akelī
paude nahin akele
chhaya hai in ki sangi sathi
par aatma akeli
wadi ki god mein chand
darpan uchhaalta hai
chandi ka jagmagata
wo jhilmilata manDwa
KHosha sa khil uTha hai
is mein jununi tara
parbat nahin akele chalte
chalte hain sath un ke
wahshi hawa ke jhonke rele
par aatma akeli
gati hai jab ye dharti
sath is ke gunjti hai
ek surat-e-sarmadi bhi
sagar lahar lahar mein
bela chara raha hai
nar-nari ke milan ki
dariya nahin akele bahte
bahti hain sath un ke
maujen
in ki
par aatma akeli
- Book : Silsila-e-makalmat (Pg. 350)
- Author : Shafique Fatma Shora
- Publication : Educational Publishing House (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.