yaad-e-watan
in shāndār mahloñ ko kyā karūñ maiñ le kar
lagtā nahīñ hai merā dil aah in meñ dam bhar
in meñ nahīñ hai merī dil-bastagī kā manzar
dil kash kahīñ hai is se ujḌā huā mirā ghar
mil jaa.e kaash mujh ko ghar aah! merā pyārā
ġhurbat meñ mujh ko rahnā dam bhar nahīñ gavārā
haiñ barkateñ utartī jis ghar meñ āsmāñ se
pyārā hai aah vo ghar mere liye jahāñ se
ai ghar sivā hai dil-kash to rauza-e-jināñ se
haañ tū azīz-tar hai mujh ko hazār jaañ se
mil jaa.e kaash mujh ko ghar aah! merā pyārā
ġhurbat meñ mujh ko rahnā dam bhar nahīñ gavārā
āvāra-e-vatan huuñ gum-karda-ḳhānumāñ huuñ
sahrā meñ muddatoñ se meñ gard-e-kārvāñ huuñ
ro ro ke aah kartā misl-e-jaras fuġhāñ huuñ
ġhurbat meñ maiñ ragaḌtā barsoñ se eḌiyāñ huuñ
mil jaa.e kaash mujh ko ghar aah! merā pyārā
ġhurbat meñ mujh ko rahnā dam bhar nahīñ gavārā
thā chhoTī chhoTī chiḌiyoñ ko maiñ jahāñ bulātā
aur giit thā ḳhushī ke maqdam meñ un ke gaatā
vo ghar meñ thiiñ chahaktī maiñ ghar meñ gungunātā
tāneñ sunātī thiiñ vo maiñ loriyāñ sunātā
mil jaa.e kaash mujh ko ghar aah! merā pyārā
ġhurbat meñ mujh ko rahnā dam bhar nahīñ gavārā
in shandar mahlon ko kya karun main le kar
lagta nahin hai mera dil aah in mein dam bhar
in mein nahin hai meri dil-bastagi ka manzar
dil kash kahin hai is se ujDa hua mera ghar
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
hain barkaten utarti jis ghar mein aasman se
pyara hai aah wo ghar mere liye jahan se
ai ghar siwa hai dil-kash to rauza-e-jinan se
han tu aziz-tar hai mujh ko hazar jaan se
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
aawara-e-watan hun gum-karda-KHanuman hun
sahra mein muddaton se mein gard-e-karwan hun
ro ro ke aah karta misl-e-jaras fughan hun
ghurbat mein main ragaDta barson se eDiyan hun
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
tha chhoTi chhoTi chiDiyon ko main jahan bulata
aur git tha KHushi ke maqdam mein un ke gata
wo ghar mein thin chahakti main ghar mein gungunata
tanen sunati thin wo main loriyan sunata
mil jae kash mujh ko ghar aah! mera pyara
ghurbat mein mujh ko rahna dam bhar nahin gawara
- Book : Hamari Qaumi Shaeri (Pg. 421)
- Author : Ali Jawad Zaidi
- Publication : Uttar Pradesh Urdu Acadmi (Lucknow) (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.