yaad hai
kheltā thā jab laḌakpan se tirā rañgīñ shabāb
haT rahī thī māh-e-ālam-tāb ke ruḳh se naqqāb
zindagī thī husn-e-nau āġhāz kā rañgīn ḳhvāb
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
jab ki sāz-e-zindagī naġhmāt se ma.amūr thā
zarra zarra mere dil kī ḳhaak kā jab tuur thā
maiñ akelā hī nahīñ saarā jahāñ masrūr thā
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
kheltī thī naujavānī jab ki bāñhoñ meñ tirī
zindagī kī bārisheñ thiiñ jalva-gāhoñ meñ tirī
raqs kartī thiiñ tamannā.eñ nigāhoñ meñ tirī
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
har adā-e-husn par hotā thā dil jab be-qarār
jab rahā kartā mulāqātoñ kā bāham intizār
jab tabī.at tujh se milnā chāhtī thī baar baar
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
raat bhar sone na detī thī masarrat iid kī
jabki rahtī thī diloñ meñ be-qarārī diid kī
māhtāb-e-īd bin jaatī kiran ḳhurshīd kī
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
raat aatī thī sunāne soz kā paiġhām jab
mashq-e-tahrīr-e-junūñ bantā thā terā naam jab
thā na kuchh pesh-e-nazar is ishq kā anjām jab
yaad hai vo naujavānī kā zamāna yaad hai
khelta tha jab laDakpan se tera rangin shabab
haT rahi thi mah-e-alam-tab ke ruKH se naqqab
zindagi thi husn-e-nau aaghaz ka rangin KHwab
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
jab ki saz-e-zindagi naghmat se mamur tha
zarra zarra mere dil ki KHak ka jab tur tha
main akela hi nahin sara jahan masrur tha
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
khelti thi naujawani jab ki banhon mein teri
zindagi ki barishen thin jalwa-gahon mein teri
raqs karti thin tamannaen nigahon mein teri
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
har ada-e-husn par hota tha dil jab be-qarar
jab raha karta mulaqaton ka baham intizar
jab tabiat tujh se milna chahti thi bar bar
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
raat bhar sone na deti thi masarrat id ki
jabki rahti thi dilon mein be-qarari did ki
mahtab-e-id bin jati kiran KHurshid ki
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
raat aati thi sunane soz ka paigham jab
mashq-e-tahrir-e-junun banta tha tera nam jab
tha na kuchh pesh-e-nazar is ishq ka anjam jab
yaad hai wo naujawani ka zamana yaad hai
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 108)
- Author : Makhdum Muhi-ud-din
- Publication : Farid Book Depot(p) Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.