yaad ke dariche
idhar tere kūche se merā guzar
bahāne se vo terā le jaanā ghar
zamāna laḌakpan kā rangīn thā
ki tū sher-o-naġhme kā shauqīn thā
baḌī der tak silsila-e-suḳhan
mirī shaḳhsiyat merā andāz-e-fan
sarāhā kiyā tū jo ash.ār ko
tashaffī huī tere fankār ko
yahīñ se juḌā silsila-e-hayāt
badal sī ga.ī thī mirī kā.enāt
ajab dard siine meñ paltā rahā
diyā sā havāoñ meñ jaltā rahā
bilā-vaj.h phirnā galī meñ tirī
ki tham kar vahīñ rah ga.ī zindagī
vo kohsār vo barf par chāñdnī
udhar chāñd chaḌhtā idhar chāñdnī
vo tanhā.iyāñ dard kā vo safar
tasavvur meñ maiñ ġharq thā sar-basar
achānak jo tū ne nazar pher lī
dukhoñ kī mire dil ko jāgīr dī
kahīñ aur jā ḳhud baserā kiyā
idhar dil meñ aahoñ ne Derā kiyā
jo iz.hār ko merī āñkhoñ meñ the
vo jugnū to miTTī meñ jazb ho chuke
kaho kuchh mirī yaad aatī bhī hai
ḳhalish dil kī tujh ko satātī bhī hai
mire chār-sū hai udāsī muhīt
kahūñ kis tarah maiñ vo pahle se giit
asar kuchh bhī sheroñ meñ baaqī nahīñ
vahī bazm hai par vo saaqī nahīñ
jo guzre kabhī tujh ko merā ḳhayāl
nazar dil-girafta pe tū aa ke Daal
zamāna huā tere darshan kiye
bahut chaak siine ke maiñ ne siiye
kisī taur ab dil bahaltā nahīñ
ghaḌī-bhar ko bhī chain miltā nahīñ
sanam koī milne kī tadbīr kar
muaaf ab mire dil kī taqsīr kar
idhar tere kuche se mera guzar
bahane se wo tera le jaana ghar
zamana laDakpan ka rangin tha
ki tu sher-o-naghme ka shauqin tha
baDi der tak silsila-e-suKHan
meri shaKHsiyat mera andaz-e-fan
saraha kiya tu jo ashaar ko
tashaffi hui tere fankar ko
yahin se juDa silsila-e-hayat
badal si gai thi meri kaenat
ajab dard sine mein palta raha
diya sa hawaon mein jalta raha
bila-wajh phirna gali mein teri
ki tham kar wahin rah gai zindagi
wo kohsar wo barf par chandni
udhar chand chaDhta idhar chandni
wo tanhaiyan dard ka wo safar
tasawwur mein main gharq tha sar-basar
achanak jo tu ne nazar pher li
dukhon ki mere dil ko jagir di
kahin aur ja KHud basera kiya
idhar dil mein aahon ne Dera kiya
jo izhaar ko meri aankhon mein the
wo jugnu to miTTi mein jazb ho chuke
kaho kuchh meri yaad aati bhi hai
KHalish dil ki tujh ko satati bhi hai
mere chaar-su hai udasi muhit
kahun kis tarah main wo pahle se git
asar kuchh bhi sheron mein baqi nahin
wahi bazm hai par wo saqi nahin
jo guzre kabhi tujh ko mera KHayal
nazar dil-girafta pe tu aa ke Dal
zamana hua tere darshan kiye
bahut chaak sine ke main ne siye
kisi taur ab dil bahalta nahin
ghaDi-bhar ko bhi chain milta nahin
sanam koi milne ki tadbir kar
muaf ab mere dil ki taqsir kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.