yaad
mere ghar ke āñgan meñ
ye peḌ ghanerā kaisā hai
us kī shāḳhoñ se har lamha zahr Tapaktā rahtā hai
ḳhūn-e-jigar se
nannhī nannhī kaliyāñ jab sabhī aatī haiñ
un kā ḳhuuñ ho jaatā hai
pal-bhar meñ murjhā jaatī haiñ
us kī shāḳhoñ se har lamha zahr Tapaktā rahtā hai
saḳht pareshāñ hairāñ huuñ
is karvaT ke dekh chukā huuñ
ye vaise kā vaisā hai
mere ghar ke āñgan meñ ye peḌ ghanerā kaisā hai
mere ghar ke aangan mein
ye peD ghanera kaisa hai
us ki shaKHon se har lamha zahr Tapakta rahta hai
KHun-e-jigar se
nannhi nannhi kaliyan jab sabhi aati hain
un ka KHun ho jata hai
pal-bhar mein murjha jati hain
us ki shaKHon se har lamha zahr Tapakta rahta hai
saKHt pareshan hairan hun
is karwaT ke dekh chuka hun
ye waise ka waisa hai
mere ghar ke aangan mein ye peD ghanera kaisa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.