yaad
dayār-e-ġhair meñ sub.h-e-vatan kī yaad aa.ī
nasīm-e-ābla-pā ko chaman kī yaad aa.ī
jarāhatoñ ne kiyā ehtimām-e-lāla-o-gul
bahār-e-rafta ko sarv-o-saman kī yaad aa.ī
guzar rahe the shab-o-roz kunj-e-uzlat meñ
ki sham.a ban ke tirī anjuman kī yaad aa.ī
bujhī huī thī bahut din se ārzū-e-suḳhan
ye aaj kis but-e-shīrīñ-dahan kī yaad aa.ī
dayar-e-ghair mein subh-e-watan ki yaad aai
nasim-e-abla-pa ko chaman ki yaad aai
jarahaton ne kiya ehtimam-e-lala-o-gul
bahaar-e-rafta ko sarw-o-saman ki yaad aai
guzar rahe the shab-o-roz kunj-e-uzlat mein
ki shama ban ke teri anjuman ki yaad aai
bujhi hui thi bahut din se aarzu-e-suKHan
ye aaj kis but-e-shirin-dahan ki yaad aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.