yaad nahin hai
dhīre dhīre bahne vaalī
ek salonī shaam ajab thī
uljhī suljhī ḳhāmoshī kī
narm tahoñ meñ
silvaT silvaT bhed chhupā thā
sardīlī maḳhmūr havā meñ
mīThā mīThā lams ghulā thā
dhīre dhīre
ḳhvāb kī giilī riit pe utre
dard ke manzar pighal rahe the
ḳhvāhish ke gumnām jazīre
sāhil par phailī ḳhushbū ke
marġholoñ ko nigal rahe the
dhīre dhīre
jaane kaun se mausam ke
do phuul khile the
shahad bharī sargoshī sun kar
jhuke jhuke se
hoñT hañse the
baḌhne lagā thā ek anokhā
san san kartā
be-kal naġhma
yaad nahīñ hai
kahāñ gire the
merī baalī
us kā chashma
dhire dhire bahne wali
ek saloni sham ajab thi
uljhi suljhi KHamoshi ki
narm tahon mein
silwaT silwaT bhed chhupa tha
sardili maKHmur hawa mein
miTha miTha lams ghula tha
dhire dhire
KHwab ki gili rit pe utre
dard ke manzar pighal rahe the
KHwahish ke gumnam jazire
sahil par phaili KHushbu ke
margholon ko nigal rahe the
dhire dhire
jaane kaun se mausam ke
do phul khile the
shahad bhari sargoshi sun kar
jhuke jhuke se
honT hanse the
baDhne laga tha ek anokha
san san karta
be-kal naghma
yaad nahin hai
kahan gire the
meri baali
us ka chashma
- Book : Khawab Ki Hatheli Per (Pg. 35)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.