yaad
kabhī kabhī koī yaad
koī bahut purānī yaad
dil ke darvāze par
aise dastak detī hai
shaam ko jaise taarā nikle
sub.h ko jaise phuul
jaise dhīre dhīre zamīñ par
raushniyoñ kā nuzūl
jaise ruuh kī pyaas bujhāne
utre koī rasūl
jaise rote rote achānak
hañs de koī malūl
kabhī kabhī koī yaad koī bahut purānī yaad
dil ke darvāze par aise dastak detī hai
kabhi kabhi koi yaad
koi bahut purani yaad
dil ke darwaze par
aise dastak deti hai
sham ko jaise tara nikle
subh ko jaise phul
jaise dhire dhire zamin par
raushniyon ka nuzul
jaise ruh ki pyas bujhane
utre koi rasul
jaise rote rote achanak
hans de koi malul
kabhi kabhi koi yaad koi bahut purani yaad
dil ke darwaze par aise dastak deti hai
- Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 107)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.