yaad rakhne ka hunar
suno
ye yaad rakhne kā hunar āsāñ nahīñ hotā
mujhe tum yaad ho
aur merī har har saañs meñ bas kar
mashām-e-jāñ mo.attar kar rahī ho
Thiik hai lekin
bhalā vo kaun thā jis ne
tumheñ pahle-pahal chāhā
vo merā ishq thā maiñ thā
vo shāyad maiñ hī thā
lekin nahīñ hai yaad ab kuchh bhī
suno
ye yaad rakhne kā hunar āsāñ nahīñ hotā
kisī ko yaad rakhne meñ
bahut kuchh bhuul jaanā hī to paḌtā hai
suno
ye yaad rakhne ka hunar aasan nahin hota
mujhe tum yaad ho
aur meri har har sans mein bas kar
masham-e-jaan moattar kar rahi ho
Thik hai lekin
bhala wo kaun tha jis ne
tumhein pahle-pahal chaha
wo mera ishq tha main tha
wo shayad main hi tha
lekin nahin hai yaad ab kuchh bhi
suno
ye yaad rakhne ka hunar aasan nahin hota
kisi ko yaad rakhne mein
bahut kuchh bhul jaana hi to paDta hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 428)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.