yaad
vo naġhme vo manāzir vo bahāreñ yaad haiñ mujh ko
yahī vo naqsh haiñ jo miT nahīñ sakte miTāne se
vo rāteñ aur vo sāvan kī phuvāreñ yaad haiñ mujh ko
yahī afsāne aksar kahtā rahtā huuñ zamāne se
vo terā muskurā kar chāñd ko tābindagī denā
sharāb-e-ishq se maḳhmūr ho jaanā fazāoñ kā
vo terī mast āñkhoñ kā naved-e-zindagī denā
vo aksar khelnā zulf-e-pareshāñ se havāoñ kā
mirā dil ho gayā hai gardish-e-ayyām se vāqif
buland-o-past aalam phir rahe haiñ merī āñkhoñ meñ
mazāq-e-dil-barī hai ishq ke paiġhām se vāqif
tasavvur hai mirā khoyā huā sā terī āñkhoñ meñ
tū mujh se duur hai lekin tujhe maiñ yaad kartā huuñ
na jab fariyād kartā thā na ab fariyād kartā huuñ
wo naghme wo manazir wo bahaaren yaad hain mujh ko
yahi wo naqsh hain jo miT nahin sakte miTane se
wo raaten aur wo sawan ki phuwaren yaad hain mujh ko
yahi afsane aksar kahta rahta hun zamane se
wo tera muskura kar chand ko tabindagi dena
sharab-e-ishq se maKHmur ho jaana fazaon ka
wo teri mast aankhon ka nawed-e-zindagi dena
wo aksar khelna zulf-e-pareshan se hawaon ka
mera dil ho gaya hai gardish-e-ayyam se waqif
buland-o-past aalam phir rahe hain meri aankhon mein
mazaq-e-dil-bari hai ishq ke paigham se waqif
tasawwur hai mera khoya hua sa teri aankhon mein
tu mujh se dur hai lekin tujhe main yaad karta hun
na jab fariyaad karta tha na ab fariyaad karta hun
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 221)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.