yaaden
raat ke gahre sannāTe meñ
maiñ ghar ke āñgan meñ tanhā
chāñd ko kab se dekh rahā huuñ
dil kī dīvāroñ ko kab se
ġham kī dīmak chaaT rahī hai
zehn ke lambe se kamre meñ
mere maazī kī almārī
jis ke donoñ hī dar vā haiñ
ġhaur se mujh ko dekh rahī hai
jī meñ ye aatā hai mere
maazī kī is almārī se
jis meñ burī bhalī sab yādeñ
uupar nīche chunī huī haiñ
chand suhānī yādeñ le luuñ
aur sajā luuñ dil meñ apne
lekin soch ke ye Dartā huuñ
ġham kī dīmak un yādoñ ko
do hī pal meñ chaaT na jaa.e
yādoñ kī ye pyārī shakleñ
phir maiñ kaise dekh sakūñgā!
raat ke gahre sannaTe mein
main ghar ke aangan mein tanha
chand ko kab se dekh raha hun
dil ki diwaron ko kab se
gham ki dimak chaT rahi hai
zehn ke lambe se kamre mein
mere mazi ki almari
jis ke donon hi dar wa hain
ghaur se mujh ko dekh rahi hai
ji mein ye aata hai mere
mazi ki is almari se
jis mein buri bhali sab yaaden
upar niche chuni hui hain
chand suhani yaaden le lun
aur saja lun dil mein apne
lekin soch ke ye Darta hun
gham ki dimak un yaadon ko
do hi pal mein chaT na jae
yaadon ki ye pyari shaklen
phir main kaise dekh sakunga!
- Book : Khala Ki Dhund Me.n Ham Chal Rahe hai.n (Pg. 97)
- Author : Aftab Shamsi
- Publication : Aftab Shamsi, Sharib Lodge, Khusro Bagh Road, Rampur-244901 (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.