yaaden
khiḌkī ke parde sarkā kar
kamre meñ aa jaatī haiñ
aapas meñ chohleñ kartī haiñ
merī hañsī uḌātī haiñ
mez pe ik tasvīr hai us ko
dekh ke shor machātī haiñ
maiñ ghabrā ke bhaag uThtā huuñ
vo mil kar chillātī haiñ
kamre se un kī āvāzeñ
duur duur tak aatī haiñ
duur duur tak aatī haiñ
aur patthar barsātī haiñ
khiDki ke parde sarka kar
kamre mein aa jati hain
aapas mein chohlen karti hain
meri hansi uDati hain
mez pe ek taswir hai us ko
dekh ke shor machati hain
main ghabra ke bhag uThta hun
wo mil kar chillati hain
kamre se un ki aawazen
dur dur tak aati hain
dur dur tak aati hain
aur patthar barsati hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 140)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.