yaaden
ahd-e-māzī ke jharokoñ se chalī aatī haiñ
muskurātī huī yādeñ merī
gungunātī huī yādeñ merī
aur mahsūs ye hotā hai mujhe
jaise banjar sī zamīñ
qatra-e-abr-e-guhar-bār se shādāb banī
jaise sahrā meñ bhaTakte hue ik raahī ko
chashma-e-āb milā
jaise pāmāl tamannā.eñ tarashshoh pā kar
phir tar-o-tāza huiiñ
jaise tarsīda kalī
muskurāhaT se dil-āvez bane
ek lamhe ke liye
sīna-e-sozāñ mirā
shabnamī yaad se muskāta hai
ek lamhe ke liye
kapkapātī huī sahmī huī hastī meñ
unheñ yādoñ kī halāvat meñ samā jaatī hai
yahī yādeñ to mirī ziist kā sarmāya haiñ
muskurātī huī yādeñ merī
gungunātī huī yādeñ merī
ahd-e-mazi ke jharokon se chali aati hain
muskuraati hui yaaden meri
gungunati hui yaaden meri
aur mahsus ye hota hai mujhe
jaise banjar si zamin
qatra-e-abr-e-guhar-bar se shadab bani
jaise sahra mein bhaTakte hue ek rahi ko
chashma-e-ab mila
jaise pamal tamannaen tarashshoh pa kar
phir tar-o-taza huin
jaise tarsida kali
muskurahaT se dil-awez bane
ek lamhe ke liye
sina-e-sozan mera
shabnami yaad se muskata hai
ek lamhe ke liye
kapkapati hui sahmi hui hasti mein
unhen yaadon ki halawat mein sama jati hai
yahi yaaden to meri zist ka sarmaya hain
muskuraati hui yaaden meri
gungunati hui yaaden meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.