yaadon ka lams
nahīñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
tumhāre sehr ke dhāgoñ ne
mere jism-o-jāñ ko bāñdh rakhā hai
hasīñ yādoñ kā shīrīñ lams
merī ruuh ko chhū kar
mirī āñkhoñ se bahtā hai
tum apnī uñgliyoñ kī narm poroñ se
mire hāthoñ ko chhūte ho
bahut dhīre se
tum apne dahakte lab mire gāloñ pe rakh kar
āñsuoñ ko poñchh dete ho
maiñ apnī band āñkhoñ meñ
hasīñ qaus-e-quzah aur titliyoñ ke rañg taktī huuñ
mohabbat ke parinde giit gaate haiñ
fazā.eñ gungunātī haiñ
tumhāre bāzuoñ ne mere tan ko
thaam rakkhā hai
tumhārī saañs kī ḳhushbū
mirī sāñsoñ meñ uljhī hai
tumheñ chhūtī
tumheñ mahsūs kartī huuñ
maiñ tum se pyaar kartī huuñ
jidhar dekhūñ tumhī tum ho
har ik pal meñ tumhī tum ho
jahāñ tum ho vahīñ huuñ maiñ
nahīñ tanhā nahīñ huuñ maiñ
nahin tanha nahin hun main
tumhaare sehr ke dhagon ne
mere jism-o-jaan ko bandh rakha hai
hasin yaadon ka shirin lams
meri ruh ko chhu kar
meri aankhon se bahta hai
tum apni ungliyon ki narm poron se
mere hathon ko chhute ho
bahut dhire se
tum apne dahakte lab mere galon pe rakh kar
aansuon ko ponchh dete ho
main apni band aankhon mein
hasin qaus-e-quzah aur titliyon ke rang takti hun
mohabbat ke parinde git gate hain
fazaen gungunati hain
tumhaare bazuon ne mere tan ko
tham rakkha hai
tumhaari sans ki KHushbu
meri sanson mein uljhi hai
tumhein chhuti
tumhein mahsus karti hun
main tum se pyar karti hun
jidhar dekhun tumhi tum ho
har ek pal mein tumhi tum ho
jahan tum ho wahin hun main
nahin tanha nahin hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.