yaadon ka zahr
biite hue dinoñ kī haiñ yādeñ bhī ik azaab
rahtā hai zehn-o-qalb pe un kā sadā itaab
idrāk-o-fahm ko bhī ye Dastī haiñ dam-ba-dam
jazbāt ke liye bhī nahīñ nāginoñ se kam
chāhā thā shā.irī to na masmūm ho magar
yādoñ kā zahr is pe bhī ab kar gayā asar
bite hue dinon ki hain yaaden bhi ek azab
rahta hai zehn-o-qalb pe un ka sada itab
idrak-o-fahm ko bhi ye Dasti hain dam-ba-dam
jazbaat ke liye bhi nahin naginon se kam
chaha tha shairi to na masmum ho magar
yaadon ka zahr is pe bhi ab kar gaya asar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.