yani la-yani
daal paanī
qissa-ḳhvānī
paak bachche
qaum ḳhālis duudh makkhan
zindagī hāzir
ḳhudā lazzat
karārī haDDiyāñ melā masāle-dār
paktī khichaḌiyāñ aivān-e-bālā meñ
guzarte vaqt ko daanā dikhātī
mast gashtī-parTiyāñ
voter TamāTar chaaT khā leñ
uuñT qurbānī ke bakre
raan chāñpeñ
siiḳh par bhuntī añdherī chīḳh
yallā dauḌ galiyoñ meñ
jamūrī bhāgtī shalvār ke nefe se bāhar
juuñ sambhāle māsiyāñ
ḳhinzīrnī alhaḌ milāvaT
duudh paanī ek karte raat din
murġh-musallam toḌte
añgḌā.iyāñ muslim haram ke vāste
ghup rāste jaate nahīñ haiñ chiin ko
chāchā harāmī jāntā hai
dal pani
qissa-KHwani
pak bachche
qaum KHalis dudh makkhan
zindagi hazir
KHuda lazzat
karari haDDiyan mela masale-dar
pakti khichaDiyan aiwan-e-baala mein
guzarte waqt ko dana dikhati
mast gashti-parTiyan
woter TamaTar chaT kha len
unT qurbani ke bakre
ran chanpen
siKH par bhunti andheri chiKH
yalla dauD galiyon mein
jamuri bhagti shalwar ke nefe se bahar
jun sambhaale masiyan
KHinzirni alhaD milawaT
dudh pani ek karte raat din
murgh-musallam toDte
angDaiyan muslim haram ke waste
ghup raste jate nahin hain chin ko
chacha harami jaanta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.