maiñ sochtā huuñ ik nazm likhūñ
lekin is meñ kyā baat kahūñ
ik baat meñ bhī sau bāteñ haiñ
kahīñ jīteñ haiñ kahīñ māteñ haiñ
dil kahtā hai maiñ suntā huuñ
man-māne phuul yuuñ chuntā huuñ
jab maat ho mujh ko chup na rahūñ
aur jiit jo ho darrāna kahūñ
pal ke pal meñ ik nazm likhūñ
lekin is meñ kyā baat kahūñ
jab yuuñ uljhan baḌh jaatī hai
tab dhyān kī devī aatī hai
aksar to vo chup hī rahtī hai
kahtī hai to itnā kahtī hai
kyuuñ sochte ho ik nazm likho
kyuuñ apne dil kī baat kaho
behtar to yahī hai chup hī raho
lekin phir soch ye aatī hai
jab naddī bahtī jaatī hai
aur apnī anant kahānī meñ
yuuñ be-dhyānī meñ ravānī meñ
maanā har moḌ pe muḌtī hai
par jī kī kah ke guzartī hai
sar par aa.ī sah jaatī hai
aur muñh aa.ī kah jaatī hai
dhartī ke siine pe chaḌhtī hai
aur aage hī aage baḌhtī hai
yuuñ maiñ bhī dil kī baat kahūñ
jī meñ aa.e to nazm likhūñ
chāhe ik baat meñ sau bāteñ
jīteñ le aa.eñ yā māteñ
chāhe koī baat bane na bane
chāhe sukh hoñ yā dukh apne
chāhe koī mujh se aa ke kahe
kyuuñ bol uThe kyuuñ chup na rahe
chāhe maiñ kah kar chup hī rahūñ
maiñ sochtā huuñ ik nazm likhūñ
lekin is meñ kyā baat kahūñ
main sochta hun ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
ek baat mein bhi sau baaten hain
kahin jiten hain kahin maten hain
dil kahta hai main sunta hun
man-mane phul yun chunta hun
jab mat ho mujh ko chup na rahun
aur jit jo ho darrana kahun
pal ke pal mein ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
jab yun uljhan baDh jati hai
tab dhyan ki dewi aati hai
aksar to wo chup hi rahti hai
kahti hai to itna kahti hai
kyun sochte ho ek nazm likho
kyun apne dil ki baat kaho
behtar to yahi hai chup hi raho
lekin phir soch ye aati hai
jab naddi bahti jati hai
aur apni anant kahani mein
yun be-dhyani mein rawani mein
mana har moD pe muDti hai
par ji ki kah ke guzarti hai
sar par aai sah jati hai
aur munh aai kah jati hai
dharti ke sine pe chaDhti hai
aur aage hi aage baDhti hai
yun main bhi dil ki baat kahun
ji mein aae to nazm likhun
chahe ek baat mein sau baaten
jiten le aaen ya maten
chahe koi baat bane na bane
chahe sukh hon ya dukh apne
chahe koi mujh se aa ke kahe
kyun bol uThe kyun chup na rahe
chahe main kah kar chup hi rahun
main sochta hun ek nazm likhun
lekin is mein kya baat kahun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.