yar log
Interesting Fact
(Funun, Lahore, June, 1973)
yaum-e-mizājī yāroñ kī
sab merī dekhī-bhālī
raat kī tārīkī meñ
un kī añgāra sī āñkheñ
puurī
din ko andhī aur adhūrī
ḳhālī
din ke ye darvesh magar rātoñ ke vaalī
apne mohsin ko jab
din ke ā.īne meñ dekheñ
fart-e-adab se simTeñ sikuḌeñ jhuk jaa.eñ
aur kuchle mas.ale rauñde lahje meñ pūchheñ
kaisā hai mizāj-e-ālī
raat ko lekin
pyaar kā rasta kaaT ke nikleñ
jaise billī kaalī
in kī hai bas ek nishānī
gaalī
yaum-e-mizaji yaron ki
sab meri dekhi-bhaali
raat ki tariki mein
un ki angara si aankhen
puri
din ko andhi aur adhuri
KHali
din ke ye darwesh magar raaton ke wali
apne mohsin ko jab
din ke aaine mein dekhen
fart-e-adab se simTen sikuDen jhuk jaen
aur kuchle masale raunde lahje mein puchhen
kaisa hai mizaj-e-ali
raat ko lekin
pyar ka rasta kaT ke niklen
jaise billi kali
in ki hai bas ek nishani
gali
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.