yar parinde!
yaar parinde! yahīñ kahīñ thā niim ke peḌ kā dayār
miTTī kī kachchī dīvāreñ chāñdī jaise yaar
yassū punjū haar kabūtar, kanche vanche, taash
jītne vaale nālāñ, hārne vaale the ḳhush-bāsh
ulTe tave kī roTī saath meñ khaTTā mīThā saag
makkhan kī Daliyoñ meñ jaise maañ ke pyaar kā raag
do kamroñ ke ghar meñ itne ghane ghanere log
niim kī chhāñv bāñTne aate gaañv bhar ke log
ghar kā darvāza thā sāñjhā jaise ghar kī maañ
sahn meñ itnī vus.at hotī jaise ek jahāñ
yaar parinde! gaañv vahī hai vaisā niim kā peḌ
dīvāroñ par kāñch jaḌe haiñ darvāzoñ par qufl
shaam Dhale hī chaupāleñ ho jaatī haiñ sunsān
changīroñ kī baasī roTī aur Dabbe kā duudh
havā huiiñ makkhan kī Daliyāñ havā huā vo pyaar
yaar parinde! niim ke peḌ kī bātoñ meñ mat aa
paas ke jañgal meñ zāġhoñ ke Dere par sau jā
yar parinde! yahin kahin tha nim ke peD ka dayar
miTTi ki kachchi diwaren chandi jaise yar
yassu punju haar kabutar, kanche wanche, tash
jitne wale nalan, haarne wale the KHush-bash
ulTe tawe ki roTi sath mein khaTTa miTha sag
makkhan ki Daliyon mein jaise man ke pyar ka rag
do kamron ke ghar mein itne ghane ghanere log
nim ki chhanw banTne aate ganw bhar ke log
ghar ka darwaza tha sanjha jaise ghar ki man
sahn mein itni wusat hoti jaise ek jahan
yar parinde! ganw wahi hai waisa nim ka peD
diwaron par kanch jaDe hain darwazon par qufl
sham Dhale hi chaupalen ho jati hain sunsan
changiron ki basi roTi aur Dabbe ka dudh
hawa huin makkhan ki Daliyan hawa hua wo pyar
yar parinde! nim ke peD ki baaton mein mat aa
pas ke jangal mein zaghon ke Dere par sau ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.