yaran-e-najd
ai bād-e-sub.h-gāhī dil keī kalī khilā de
vīrāna mere dil kā rashk-e-chaman banā de
us bazm-e-jāñ-fazā kā nazzāra phir dikhā de
gulzār-e-ārzū meñ phir taaza gul khilā de
ye kār-zār-e-hastī hai ranj-o-ġham keī bastī
phir yād-e-bazm-e-jam meñ ik jām-e-jam pilā de
ab shām-e-zindagī keī zulmat hai chhāne vaalī
vo sub.h-e-dil-kushā kā nazzāra phir dikhā de
pastī meñ pā-ba-gil hai umr-e-ravāñ kā dariyā
phir ūñchī vādiyoñ ke manzar use dikhā de
vo ahd-e-shādmānī vo itr-e-zindagānī
ai daur-e-āsmānī vāpas kahīñ se laade
ai bāġhbāñ ho tujh ko taḳht-e-chaman mubārak
mujh ko vo ham-navā de vo merā ghoñsla de
kin hasratoñ se 'nāzir' us anjuman se nikle
melā sā lag rahā hai jab ham chaman se nikle
ahvāl-e-bazm-e-gulshan ai nāma-bar sunānā
vo dāstāñ hai dilkash rañgīñ hai vo fasāna
us bazm-e-dil-kushā meñ ulfat keī us fazā meñ
tāroñ keī raushnī meñ yāroñ kā mil ke gaanā
kānoñ meñ rach rahī hai koyal keī kuuk ab tak
'nāzir' kā hai vazīfa us dhun meñ gungunānā
collage keī sarzamīñ thī yā naqsh-e-dil-nashīñ thī
dil se ḳhayāl us kā mumkin nahīñ bhulānā
dariyā meñ mil ke jaise hoñ naddiyāñ ham-āġhosh
begāna kal jo aayā vo aaj thā yagāna
bahr-e-tavāf jaanā pīr-e-muġhāñ ke dar par
aur us keī ik nigah se sarmast ho ke aanā
us chashm-e-mast meñ thī ye turfa ik karāmat
phirtī vo jis taraf ko phirtā udhar zamānā
ai vaqt-e-rafta aa jā phir vo samāñ dikhā jā
aisā bhī kyā thā jaanā phir lauT kar na aanā
ai nāḳhudā bhañvar se kashtī merī bachā kar
yārān-e-āshnā se bahr-e-ḳhudā milānā
dar fasl-e-gul ki gulshan naqsh-o-nigār bando
'nāzir' ḳhayāl-e-ḳhud-rā aur bazm-e-yār bando
ai baad-e-subh-gahi dil kei kali khila de
virana mere dil ka rashk-e-chaman bana de
us bazm-e-jaan-faza ka nazzara phir dikha de
gulzar-e-arzu mein phir taza gul khila de
ye kar-zar-e-hasti hai ranj-o-gham kei basti
phir yaad-e-bazm-e-jam mein ek jam-e-jam pila de
ab sham-e-zindagi kei zulmat hai chhane wali
wo subh-e-dil-kusha ka nazzara phir dikha de
pasti mein pa-ba-gil hai umr-e-rawan ka dariya
phir unchi wadiyon ke manzar use dikha de
wo ahd-e-shadmani wo itr-e-zindagani
ai daur-e-asmani wapas kahin se lade
ai baghban ho tujh ko taKHt-e-chaman mubarak
mujh ko wo ham-nawa de wo mera ghonsla de
kin hasraton se 'nazir' us anjuman se nikle
mela sa lag raha hai jab hum chaman se nikle
ahwal-e-bazm-e-gulshan ai nama-bar sunana
wo dastan hai dilkash rangin hai wo fasana
us bazm-e-dil-kusha mein ulfat kei us faza mein
taron kei raushni mein yaron ka mil ke gana
kanon mein rach rahi hai koyal kei kuk ab tak
'nazir' ka hai wazifa us dhun mein gungunana
collage kei sarzamin thi ya naqsh-e-dil-nashin thi
dil se KHayal us ka mumkin nahin bhulana
dariya mein mil ke jaise hon naddiyan ham-aghosh
begana kal jo aaya wo aaj tha yagana
bahr-e-tawaf jaana pir-e-mughan ke dar par
aur us kei ek nigah se sarmast ho ke aana
us chashm-e-mast mein thi ye turfa ek karamat
phirti wo jis taraf ko phirta udhar zamana
ai waqt-e-rafta aa ja phir wo saman dikha ja
aisa bhi kya tha jaana phir lauT kar na aana
ai naKHuda bhanwar se kashti meri bacha kar
yaran-e-ashna se bahr-e-KHuda milana
dar fasl-e-gul ki gulshan naqsh-o-nigar bando
'nazir' KHayal-e-KHud-ra aur bazm-e-yar bando
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.