yas o umid
yaas
morid-e-zulm huuñ āmāj-gah-e-tīr huuñ maiñ
taḳhta-e-mashq-e-sitam qaidi-e-zanjīr huuñ maiñ
saikḌoñ dushman-e-saffāk lage haiñ pīchhe
kitne hī nāvak-e-bedād kā naḳhchīr huuñ maiñ
shaukat-e-rafta kī taḳh.īl bhī ab mushkil hai
mahfil-e-dosh kī miTtī huī tasvīr huuñ maiñ
kis qadar apnī tabāhī pe karūñ nauha-zanī
muḳhtasar ye hai ki phūTī huī taqdīr huuñ maiñ
ham-nashīñ sail-e-havādis meñ bahā jaatā huuñ
sarhad-e-maut se nazdīk huā jaatā huuñ
ummīd
hai ġhalat nauha-e-ġham-gauhar shahvār hai tū
fil-haqīqat baḌī izzat kā sazā-vār hai tū
maujzan hai tirī rag rag meñ shahīdoñ kā lahū
badr o ahzāb kī jañgoñ kā alam-dār hai tū
jur.at-e-ḳhālid-e-jāñ-bāz milī hai tujh ko
vāris-e-zor-e-shah-e-haidar-e-karrār hai tū
kaun kahtā hai tujhe jins danī hech-mabarz
tū bahut kuchh hai agar muslim-e-bedār hai tū
tū agar chāhe nikal saktī hai sahrā meñ bhī raah
sa.i-e-paiham ke liye koh-e-girāñ ik par-e-kāh
kaun kahtā hai ki sāmān se vābasta hai
terī izzat tire īmān se vābasta hai
sab se avval tujhe lāzim hai ḳhudā kī pahchān
ādmiyat isī irfān se vābasta hai
ḳhud girā paḌtā hai lāzim hai ḳhudā kī pahchān
terī vaq.at bhī tirī aan se vābasta hai
is se kaT jaa.e to kauḌī bhī nahīñ mol tirā
qadr o qīmat tirī qur.ān se vābasta hai
tū hai shākī ki zamāna ne tujhe khoyā hai
aur zamāne ko shikāyat hai ki tū soyā hai
yas
morid-e-zulm hun aamaj-gah-e-tir hun main
taKHta-e-mashq-e-sitam qaidi-e-zanjir hun main
saikDon dushman-e-saffak lage hain pichhe
kitne hi nawak-e-bedad ka naKHchir hun main
shaukat-e-rafta ki taKHil bhi ab mushkil hai
mahfil-e-dosh ki miTti hui taswir hun main
kis qadar apni tabahi pe karun nauha-zani
muKHtasar ye hai ki phuTi hui taqdir hun main
ham-nashin sail-e-hawadis mein baha jata hun
sarhad-e-maut se nazdik hua jata hun
ummid
hai ghalat nauha-e-gham-gauhar shahwar hai tu
fil-haqiqat baDi izzat ka saza-war hai tu
maujzan hai teri rag rag mein shahidon ka lahu
badr o ahzab ki jangon ka alam-dar hai tu
jurat-e-KHalid-e-jaan-baz mili hai tujh ko
waris-e-zor-e-shah-e-haidar-e-karrar hai tu
kaun kahta hai tujhe jins dani hech-mabarz
tu bahut kuchh hai agar muslim-e-bedar hai tu
tu agar chahe nikal sakti hai sahra mein bhi rah
sai-e-paiham ke liye koh-e-giran ek par-e-kah
kaun kahta hai ki saman se wabasta hai
teri izzat tere iman se wabasta hai
sab se awwal tujhe lazim hai KHuda ki pahchan
aadmiyat isi irfan se wabasta hai
KHud gira paDta hai lazim hai KHuda ki pahchan
teri waqat bhi teri aan se wabasta hai
is se kaT jae to kauDi bhi nahin mol tera
qadr o qimat teri quran se wabasta hai
tu hai shaki ki zamana ne tujhe khoya hai
aur zamane ko shikayat hai ki tu soya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.