yahan dildar-begam dafn hai
ek an-jānā sā Dar
jab vo paidā huī thī
us ke andar jazb thā
ek añdherī koTharī kā ḳhauf
rag rag meñ basā thā
ek ūñchā.ī se gir jaane kī dahshat
pīchhe pīchhe chal rahī thī
ek darvāze ke pīchhe jā ke chhup jaane kā shauq
zindagī kī sab se pahlī aarzū thī
khiḌkiyoñ kī oT se galiyoñ kā manzar dekhnā
zindagī kī sab se pahlī justujū thī
jab zarā sā vaqt guzrā
aql ke tāroñ kī jumbish se badan jaagā
hifāzat kā tasavvur is qadar vahshat-zada thā
ki apne jism se sharmindagī hotī rahī
phir ḳharīdāroñ kī duniyā meñ zarā sun-gun huī
dil dhaḌakne kī sadā mādūm ho kar rah ga.ī
ḳhauf ke gahne sajā kar
aur jhijak ke be-tahāshā phuul pahnā kar
ḳharīdāroñ ne us ko phir se andhī koTharī meñ qaid kar Daalā
vo jis kā ḳhauf vo bachpan se sahtī aa rahī thī
phir zarā sā hosh aayā
daur-e-nau-umrī gayā to aañkh se parda haTā
manzar nazar aane lage
paañv chaukhaT kī taraf baḌhne lage
ik qadam rakkhā hī thā ki nanhe nanhe haath ik zanjīr ban kar aa ga.e
ab vo is raste meñ hai sab jis ko rāh-e-marg kahte haiñ
munjamid āñkhoñ meñ ab manzar Thaharte hī nahīñ
ab kisī chaukhaT kī jānib paañv baḌhte hī nahīñ
nanhe nanhe haath kuchh is tarah ūñche ho ga.e
ab dastaras se duur haiñ
apnī zanjīroñ meñ ḳhud mahsūr haiñ
us kī andhī koTharī par ek katba nasb hai
''is jagah dildār-begam dafn hai
vo afīfa pārsā sābir-o-shākir so rahī hai
yahāñ se ġhair mardoñ kā guzarnā man.a hai
barā.e fātiha jo aanā chāhe aa.e
lekin duur se paḌh le''
ek an-jaana sa Dar
jab wo paida hui thi
us ke andar jazb tha
ek andheri koThari ka KHauf
rag rag mein basa tha
ek unchai se gir jaane ki dahshat
pichhe pichhe chal rahi thi
ek darwaze ke pichhe ja ke chhup jaane ka shauq
zindagi ki sab se pahli aarzu thi
khiDkiyon ki oT se galiyon ka manzar dekhna
zindagi ki sab se pahli justuju thi
jab zara sa waqt guzra
aql ke taron ki jumbish se badan jaga
hifazat ka tasawwur is qadar wahshat-zada tha
ki apne jism se sharmindagi hoti rahi
phir KHaridaron ki duniya mein zara sun-gun hui
dil dhaDakne ki sada madum ho kar rah gai
KHauf ke gahne saja kar
aur jhijak ke be-tahasha phul pahna kar
KHaridaron ne us ko phir se andhi koThari mein qaid kar Dala
wo jis ka KHauf wo bachpan se sahti aa rahi thi
phir zara sa hosh aaya
daur-e-nau-umri gaya to aankh se parda haTa
manzar nazar aane lage
panw chaukhaT ki taraf baDhne lage
ek qadam rakkha hi tha ki nanhe nanhe hath ek zanjir ban kar aa gae
ab wo is raste mein hai sab jis ko rah-e-marg kahte hain
munjamid aankhon mein ab manzar Thaharte hi nahin
ab kisi chaukhaT ki jaanib panw baDhte hi nahin
nanhe nanhe hath kuchh is tarah unche ho gae
ab dastaras se dur hain
apni zanjiron mein KHud mahsur hain
us ki andhi koThari par ek katba nasb hai
is jagah dildar-begam dafn hai
wo afifa parsa sabir-o-shakir so rahi hai
yahan se ghair mardon ka guzarna mana hai
barae fatiha jo aana chahe aae
lekin dur se paDh le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.