yahan mazafat mein
yahāñ mazāfāt meñ is vaqt
Thiik is vaqt
jab zamīnī ghaḌiyāñ sub.h ke sāḌhe-sāt bajā rahī haiñ
ek pahiya banāyā jā rahā hai
lakḌī ke taḳhtoñ ko golā.ī denā ma.amūlī kaam nahīñ
apne vast se bāhar phūTtī huī raushnī
aurat ke barahana jism ke ba.ad ye pahlā manzar hai
jis ne mujhe rok liyā hai
aur maiñ bhuul gayā huuñ ki sayyāre par koī mausam bhī hai
aur merā ek naam bhī hai
pahiyoñ kī ek joḌī darvāze se lagī khaḌī hai
gāḌībān aa.egā aur use le jā.egā
gāḌībān aa.egā aur ye phuul le jā.egā...
yahan mazafat mein is waqt
Thik is waqt
jab zamini ghaDiyan subh ke saDhe-sat baja rahi hain
ek pahiya banaya ja raha hai
lakDi ke taKHton ko golai dena mamuli kaam nahin
apne wast se bahar phuTti hui raushni
aurat ke barahana jism ke baad ye pahla manzar hai
jis ne mujhe rok liya hai
aur main bhul gaya hun ki sayyare par koi mausam bhi hai
aur mera ek nam bhi hai
pahiyon ki ek joDi darwaze se lagi khaDi hai
gaDiban aaega aur use le jaega
gaDiban aaega aur ye phul le jaega
- Book : AN EVENING OF CAGED BEASTS (Pg. 122)
- Author : Asif Farrukhi
- Publication : Ameena Saiyid, Oxford University (1999)
- Edition : 1999
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.