yahi tum par bhi khulna hai
achānak aaj mujh ko rāste meñ mil gayā thā vo
tumhārā naam letā thā
mujhe kahne lagā, anjum
ḳhudā-lagtī kaho, tum ne bhī is mah-rū ko dekhā hai
tumhārī aañkh bhī to husn kā idrāk rakhtī hai
tumheñ bhī āshnā.ī hai ki ḳhadd-o-ḳhāl kin kin zāviyoñ se
husn kī tashkīl karte haiñ
to kyā jo haal hai merā bhalā kuchh aur hotā thaa?
mujhe to us pe marnā thā mujhe to ḳhud ko ronā thaa!
maiñ us kī baat sun kar hañs diyā
is shaḳhs ne us shaḳhs ko kis aañkh se dekhā!
mujhe to yuuñ lagā jaise koī dīvān-e-ġhālib kī munaqqash jild kī tārīf kartā ho
achanak aaj mujh ko raste mein mil gaya tha wo
tumhaara nam leta tha
mujhe kahne laga, anjum
KHuda-lagti kaho, tum ne bhi is mah-ru ko dekha hai
tumhaari aankh bhi to husn ka idrak rakhti hai
tumhein bhi aashnai hai ki KHadd-o-KHal kin kin zawiyon se
husn ki tashkil karte hain
to kya jo haal hai mera bhala kuchh aur hota tha?
mujhe to us pe marna tha mujhe to KHud ko rona tha!
main us ki baat sun kar hans diya
is shaKHs ne us shaKHs ko kis aankh se dekha!
mujhe to yun laga jaise koi diwan-e-ghaalib ki munaqqash jild ki tarif karta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.