yahi zindagi hai
dil kī udaas nagrī meñ
jab yādoñ kī bāñsurī bajtī haiñ
to kitnī hī
uudī piilī niilī yādoñ kī shahnā.iyāñ
ehsās ke ghuñgrū bajā detī haiñ
in shahnā.iyoñ kī karb-rez o nashāt-angez āvāzeñ
kabhī ruuh ko ehsās-e-farhat ke naach nachāne par
majbūr kartī haiñ
aur kabhī
sitam-zada ḳhayālāt ke samundar kī tund-o-tez lahroñ ko
magarmachhoñ ke kartab sikhātī haiñ
phir ye magarmachh apne nokīle daañt
dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ paivast karke
ehsās ke motiyoñ ko nikāl kar
dimāġh ke alaav par Daal dete haiñ
aur insān rafta rafta maazī ke nasheb-o-farāz kī
aag meñ jalnā shurūa ho jaatā hai
aag kī aañch hasrat ke lohe ko
āhista āhista itnā garmā detī hai ki
āñkhoñ ke sāmne sirf dhuāñ hī dhuāñ
rah jaatā hai tāham
jab dimāġh kī tapish par rāhat kī shabnam
paḌ jaatī hai to dil meñ
masarrat kā samundar maujeñ mārnā shurūa kar detā hai
aur yahī karb-rez hasrat aur nashāt-angez yādeñ
zindagī kahlātī haiñ
dil ki udas nagri mein
jab yaadon ki bansuri bajti hain
to kitni hi
udi pili nili yaadon ki shahnaiyan
ehsas ke ghungru baja deti hain
in shahnaiyon ki karb-rez o nashat-angez aawazen
kabhi ruh ko ehsas-e-farhat ke nach nachane par
majbur karti hain
aur kabhi
sitam-zada KHayalat ke samundar ki tund-o-tez lahron ko
magarmachhon ke kartab sikhati hain
phir ye magarmachh apne nokile dant
dil ke nihan-KHanon mein paiwast karke
ehsas ke motiyon ko nikal kar
dimagh ke alaw par Dal dete hain
aur insan rafta rafta mazi ke nasheb-o-faraaz ki
aag mein jalna shurua ho jata hai
aag ki aanch hasrat ke lohe ko
aahista aahista itna garma deti hai ki
aankhon ke samne sirf dhuan hi dhuan
rah jata hai taham
jab dimagh ki tapish par rahat ki shabnam
paD jati hai to dil mein
masarrat ka samundar maujen marna shurua kar deta hai
aur yahi karb-rez hasrat aur nashat-angez yaaden
zindagi kahlati hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.