yaksan
mire bistar se jab uTh kar
vo thoḌī duur tak hī jā sakī thī
achānak
ye ḳhayāl aaya mujhe ki
zarā sī chhāoñ kī ḳhātir
jhulastī ret pe vo nange pairoñ
na jaane kitnī sadiyoñ se yūñhī bas
be-irāda chal rahī hai
mire bistar kī shiknoñ ne magar
mire lahje meñ mujh se bhī kahā ki
tumhārī 'umr kā baḌhtā añdherā
yūñhī bas be-irāda
tumheñ bhī dasht meñ bhaTkā rahā hai
mere bistar se jab uTh kar
wo thoDi dur tak hi ja saki thi
achanak
ye KHayal aaya mujhe ki
zara si chhaon ki KHatir
jhulasti ret pe wo nange pairon
na jaane kitni sadiyon se yunhi bas
be-irada chal rahi hai
mere bistar ki shiknon ne magar
mere lahje mein mujh se bhi kaha ki
tumhaari 'umr ka baDhta andhera
yunhi bas be-irada
tumhein bhi dasht mein bhaTka raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.