yaksui
ahd-e-gum-gashta kī tasvīr dikhātī kyuuñ ho
ek āvāra-e-manzil ko satātī kyuuñ ho
vo hasīñ ahd jo sharminda-e-īfā na huā
us hasīñ ahd kā mafhūm jatātī kyuuñ ho
zindagī sho.ala-e-be-bāk banā lo apnī
ḳhud ko ḳhākistar-e-ḳhāmosh banātī kyuuñ ho
maiñ tasavvuf ke marāhil kā nahīñ huuñ qaa.il
merī tasvīr pe tum phuul chaḌātī kyuuñ ho
kaun kahtā hai ki aa.heñ haiñ masā.ib kā ilaaj
jaan ko apnī abas rog lagātī kyuuñ ho
ek sarkash se mohabbat kī tamannā rakh kar
ḳhud ko aa.iin ke phandoñ meñ phañsātī kyuuñ ho
maiñ samajhtā huuñ taqaddus ko tamaddun kā fareb
tum rusūmāt ko īmān banātī kyuuñ ho
jab tumheñ mujh se ziyāda hai zamāne kā ḳhayāl
phir mirī yaad meñ yuuñ ashk bahātī kyuuñ ho
tum meñ himmat hai to duniyā se baġhāvat kar do
varna maañ baap jahāñ kahte haiñ shādī kar lo
ahd-e-gum-gashta ki taswir dikhati kyun ho
ek aawara-e-manzil ko satati kyun ho
wo hasin ahd jo sharminda-e-ifa na hua
us hasin ahd ka mafhum jatati kyun ho
zindagi shoala-e-be-bak bana lo apni
KHud ko KHakistar-e-KHamosh banati kyun ho
main tasawwuf ke marahil ka nahin hun qail
meri taswir pe tum phul chaDati kyun ho
kaun kahta hai ki aahen hain masaib ka ilaj
jaan ko apni abas rog lagati kyun ho
ek sarkash se mohabbat ki tamanna rakh kar
KHud ko aain ke phandon mein phansati kyun ho
main samajhta hun taqaddus ko tamaddun ka fareb
tum rusumat ko iman banati kyun ho
jab tumhein mujh se ziyaada hai zamane ka KHayal
phir meri yaad mein yun ashk bahati kyun ho
tum mein himmat hai to duniya se baghawat kar do
warna man bap jahan kahte hain shadi kar lo
- Book : Kulliyat-e-Sahir (Pg. 22)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.