yakum january
phir ik
sard ThiThurā huā din
dabe paañv chaltā huā
balcony se
kamre meñ aayā
mujhe apne bistar meñ
dubkā huā dekh kar
muskurāyā
aur ārām-kursī pe baiThā
ghaḌī god meñ rakh ke
kāñTā ghumāyā
thake paañv chaltā huā
balcony ko lauTā
to chāroñ taraf se
añdheroñ ne baḌh ke
use phaaḌ khāyā
phir ek
sard ThiThura hua din
dabe panw chalta hua
balcony se
kamre mein aaya
mujhe apne bistar mein
dubka hua dekh kar
muskuraya
aur aaram-kursi pe baiTha
ghaDi god mein rakh ke
kanTa ghumaya
thake panw chalta hua
balcony ko lauTa
to chaaron taraf se
andheron ne baDh ke
use phaD khaya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 171)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.