tumheñ laa.ī hai mere rū-ba-rū
saa.at chamakne kī
tumhāre saath aa.ī hai
fazā mere mahakne kī
havā meñ phailtī jaatī hai ḳhushbū
fasl pakne kī
mirī timsāl meñ naqsh-e-numū kaise ubhartā hai
us ā.īne meñ
aks-e-ḳhūb-rū kaise ubhartā hai
nayā mausam mire pattoñ meñ kyā kyā rañg
bhartā hai
ye manzar dekhte rahnā
sitāre
tum jhuke ho merī shāḳhoñ par
jhuke rahnā
tumhein lai hai mere ru-ba-ru
saat chamakne ki
tumhaare sath aai hai
faza mere mahakne ki
hawa mein phailti jati hai KHushbu
fasl pakne ki
meri timsal mein naqsh-e-numu kaise ubharta hai
us aaine mein
aks-e-KHub-ru kaise ubharta hai
naya mausam mere patton mein kya kya rang
bharta hai
ye manzar dekhte rahna
sitare
tum jhuke ho meri shaKHon par
jhuke rahna
- Book : meyaar (Pg. 74)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.