yaqin ke KHilaf
bharosā bharosā
ye kyā raT lagā.ī hai tum ne?
tum alag ho koī is jahāñ se
are
jaisā maiñ vaise tum
maiñ hī jab aaj kī sub.h vaisā na thā jaisā soyā thā raat
to phir kis liye aur kyuuñ
maiñ tumhārī purānī vafā-dāriyoñ par bharosā karūñ
ye batāo
bharosa bharosa
ye kya raT lagai hai tum ne?
tum alag ho koi is jahan se
are
jaisa main waise tum
main hi jab aaj ki subh waisa na tha jaisa soya tha raat
to phir kis liye aur kyun
main tumhaari purani wafa-dariyon par bharosa karun
ye batao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.