yaqin ki koi had nahin hoti
mere itmīnān ke liye
niile samundar
hasīn jhiil
yā kisī ghaas se lipTe hue tālāb kā zikr zarūrī nahīñ
merā yaqīn samundar jhiil aur ek tālāb se ziyāda saada hai
ye āñkhoñ pe hī e'tibār kar letā hai
āñkheñ chāhe sūkhī hoñ
yā pur-āshob
un kī gahrā.ī kā muqābla paanī se nahīñ kiyā jā saktā
āñkheñ ḳhush hoñ
yā udaas
lekin ye sirf tumhārī apnī honī chāhiyeñ
kisī aur kī āñkhoñ se dekhte hue
yaqīn kī koī had nahīñ hotī
jab use patthar se banāyā gayā ho
yaqīn ke liye kisī ḳhaas din kā honā zarūrī nahīñ
jab use ḳhvāboñ se bunā gayā ho
mere itminan ke liye
nile samundar
hasin jhil
ya kisi ghas se lipTe hue talab ka zikr zaruri nahin
mera yaqin samundar jhil aur ek talab se ziyaada sada hai
ye aankhon pe hi e'tibar kar leta hai
aankhen chahe sukhi hon
ya pur-ashob
un ki gahrai ka muqabla pani se nahin kiya ja sakta
aankhen KHush hon
ya udas
lekin ye sirf tumhaari apni honi chahiyen
kisi aur ki aankhon se dekhte hue
yaqin ki koi had nahin hoti
jab use patthar se banaya gaya ho
yaqin ke liye kisi KHas din ka hona zaruri nahin
jab use KHwabon se buna gaya ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.