Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yaum-e-azadi

MORE BYJaiKrishn Chaudhry Habeeb

    chaman meñ naaz se aThkheliyāñ kartī bahār aa.ī

    guloñ pairahan pahne vo jān-e-intizār aa.ī

    chaman vaale sabhī fart-e-masarrat se pukār uTThe

    bahār aa.ī bahār aa.ī bahār aa.ī bahār aa.ī

    kahīñ kaliyoñ ko chheḌā hai kahīñ phūloñ ko chūmā hai

    gale mil mil ke pattoñ se vo yuuñ rūThī bahār aa.ī

    nasība jaag uTThā phir sabhī ahl-e-gulistāñ

    diloñ daaġh dho dho kar vo bār-e-ġham utaar aa.ī

    na.ī phir zindagī aa.ī nayā dil meñ surūr aayā

    na.e sapne na.e armāñ na.ī aashā ubhār aa.ī

    khulā hai mai-kade dar aur izn-e-ām hai sab ko

    vahāñ par aaj rindoñ qatār andar qatār aa.ī

    ga.e gulshan pe ġhairoñ ke to mauj-e-rañg-o-bū ban kar

    har ik gulshan se ham ko bhī nidā-e-ḳhush-gavār aa.ī

    nigāh-e-bad se dekhā hai kisī ne gar gulistāñ ko

    to gul-chī har ik sāzish hamīñ ko sāzgār aa.ī

    jinhoñ ne is chaman ko ḳhuun aur ashkoñ se sīñchā thā

    bahār aa.ī to yaad un ham ko baar baar aa.ī

    na maalī ho kabhī ġhāfil na an-ban ahl-e-gulshan meñ

    tabhī samjheñge ham yāroñ haqīqat meñ bahār aa.ī

    sadā apne chaman meñ daur-daura ho bahāroñ

    'habīb' apnī zabāñ par ye duā be-iḳhtiyār aa.ī

    chaman mein naz se aThkheliyan karti bahaar aai

    gulon ka pairahan pahne wo jaan-e-intizar aai

    chaman wale sabhi fart-e-masarrat se pukar uTThe

    bahaar aai bahaar aai bahaar aai bahaar aai

    kahin kaliyon ko chheDa hai kahin phulon ko chuma hai

    gale mil mil ke patton se wo yun ruThi bahaar aai

    nasiba jag uTTha phir sabhi ahl-e-gulistan ka

    dilon ka dagh dho dho kar wo bar-e-gham utar aai

    nai phir zindagi aai naya dil mein surur aaya

    nae sapne nae arman nai aasha ubhaar aai

    khula hai mai-kade ka dar aur izn-e-am hai sab ko

    wahan par aaj rindon ki qatar andar qatar aai

    gae gulshan pe ghairon ke to mauj-e-rang-o-bu ban kar

    har ek gulshan se hum ko bhi nida-e-KHush-gawar aai

    nigah-e-bad se dekha hai kisi ne gar gulistan ko

    to gul-chi ki har ek sazish hamin ko sazgar aai

    jinhon ne is chaman ko KHun aur ashkon se sincha tha

    bahaar aai to yaad un ki hum ko bar bar aai

    na mali ho kabhi ghafil na an-ban ahl-e-gulshan mein

    tabhi samjhenge hum yaron haqiqat mein bahaar aai

    sada apne chaman mein daur-daura ho bahaaron ka

    'habib' apni zaban par ye dua be-iKHtiyar aai

    Source :
    • Book : نغمۂ زندگی (Pg. 85)
    • Author : جے کرشن چودھری حبیب
    • Publication : جے کرشن چودھری حبیب
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now