yaum-e-barq
Interesting Fact
(Dedicated to Barq Dehlvi)
tirī raushan-dimāġhī par haiñ nāzāñ āsmāñ vaale
tirī nāzuk-ḳhayālī par haiñ hairāñ gulsitāñ vaale
tirī azmat ke qaa.il dil se haiñ sāre-jahāñ vaale
suḳhan-dānoñ kī mahfil meñ tū sham-e-husn-e-mahfil hai
sitāroñ meñ ziyā-afroz misl-e-māh-e-kāmil hai
samajhte haiñ tujhe sālār apnā kārvāñ vaale
kahīñ alfāz meñ husn-e-haqīqī kī haiñ tasvīreñ
kahīñ ash.ār meñ ramz-e-mohabbat kī haiñ tafsīreñ
tire dīvāñ ko jām-e-jam samajhte haiñ jahāñ vaale
kahīñ aañsū kahīñ naġhme kahīñ jalve javānī ke
tire ash.ār ā.īne haiñ hāl-e-zindagānī ke
ki jin meñ apnī sūrat dekh lete haiñ jahāñ vaale
kahīñ hubb-e-vatan kī aag lafzoñ meñ bharī dekhī
kahīñ manzar-nigārī kī hasīñ jādūgarī dekhī
vo tashbīheñ haiñ jin par naaz karte haiñ zabāñ vaale
jahāñ tū ne zarā barq-e-jamāl-e-sher chamkā.ī
vahīñ ik zindagī kī lahr sī dauḌī nazar aa.ī
tirī sho.ala-navā.ī par haiñ chup shabnam-sitāñ vaale
tire ash.ār ne rañg-e-qubūl-e-ām paayā hai
jahāñ meñ tū ne apnī sheriyat se naam paayā hai
hamesha yaad rakkheñge tujhe hindostāñ vaale
teri raushan-dimaghi par hain nazan aasman wale
teri nazuk-KHayali par hain hairan gulsitan wale
teri azmat ke qail dil se hain sare-jahan wale
suKHan-danon ki mahfil mein tu sham-e-husn-e-mahfil hai
sitaron mein ziya-afroz misl-e-mah-e-kaamil hai
samajhte hain tujhe salar apna karwan wale
kahin alfaz mein husn-e-haqiqi ki hain taswiren
kahin ashaar mein ramz-e-mohabbat ki hain tafsiren
tere diwan ko jam-e-jam samajhte hain jahan wale
kahin aansu kahin naghme kahin jalwe jawani ke
tere ashaar aaine hain haal-e-zindagani ke
ki jin mein apni surat dekh lete hain jahan wale
kahin hubb-e-watan ki aag lafzon mein bhari dekhi
kahin manzar-nigari ki hasin jadugari dekhi
wo tashbihen hain jin par naz karte hain zaban wale
jahan tu ne zara barq-e-jamal-e-sher chamkai
wahin ek zindagi ki lahr si dauDi nazar aai
teri shoala-nawai par hain chup shabnam-sitan wale
tere ashaar ne rang-e-qubul-e-am paya hai
jahan mein tu ne apni sheriyat se nam paya hai
hamesha yaad rakkhenge tujhe hindostan wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.