yaum-e-KHawatin
aaj bhī koī kahīñ gosh-bar-āvāz na thā
aaj bhī chāroñ taraf log the andhe bahre
aaj bhī merī har ik soch pe baiThe pahre
aaj bhī tum mirī har saañs ke mālik Thahre
merā gum-nām sā khoyā sā ye bechain vajūd
ek pahchān kā sadiyoñ se jo dīvāna rahā
aaj bhī apne se begāna rahā
aur jiyā bhī to jiyā ban ke kisī kā saaya
aaj bhī mujh se mirā maiñ nahīñ milne paayā
aaj bhī maiñ ne ḳhud apne se mulāqāt na kī
ek pal hī ko sahī
apne hī dil se magar dil kī koī baat na kī
biitī sadiyoñ kī tarah
aaj bhī aaj kā din biit gayā
aaj bhi koi kahin gosh-bar-awaz na tha
aaj bhi chaaron taraf log the andhe bahre
aaj bhi meri har ek soch pe baiThe pahre
aaj bhi tum meri har sans ke malik Thahre
mera gum-nam sa khoya sa ye bechain wajud
ek pahchan ka sadiyon se jo diwana raha
aaj bhi apne se begana raha
aur jiya bhi to jiya ban ke kisi ka saya
aaj bhi mujh se mera main nahin milne paya
aaj bhi main ne KHud apne se mulaqat na ki
ek pal hi ko sahi
apne hi dil se magar dil ki koi baat na ki
biti sadiyon ki tarah
aaj bhi aaj ka din bit gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.