ye aankhen
ye āñkheñ har dar-o-dīvār meñ āñkheñ
ye āñkheñ resturānoñ meñ aivānoñ meñ cluboñ meñ
tire ghar kī añdherī koTharī meñ
jism meñ rūhoñ meñ sāñsoñ meñ
kalīsā ke dhuāñ dete hue har taaq meñ āñkheñ
ye āñkheñ mimbar-o-mehrāb meñ āñkheñ
ye āñkheñ jāgte meñ ḳhvāb meñ āñkheñ
ye āñkheñ ġhol kī sūrat jhapaTtī haiñ
ki jaise shahr meñ ḳhūnī parinde aa ga.e haiñ
rafīq-e-jāñ añdherī sīḌhiyoñ meñ yuuñ akelī mat khaḌī honā
ye āñkheñ
ye aankhen har dar-o-diwar mein aankhen
ye aankhen resturanon mein aiwanon mein clubon mein
tere ghar ki andheri koThari mein
jism mein ruhon mein sanson mein
kalisa ke dhuan dete hue har taq mein aankhen
ye aankhen mimbar-o-mehrab mein aankhen
ye aankhen jagte mein KHwab mein aankhen
ye aankhen ghol ki surat jhapaTti hain
ki jaise shahr mein KHuni parinde aa gae hain
rafiq-e-jaan andheri siDhiyon mein yun akeli mat khaDi hona
ye aankhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.