ye aansu nahin
ye aañsū nahīñ koī aur chiiz hai
jo tumhārī āñkhoñ se bah rahī hai
ye namak nahīñ kisī aur shai kā zā.iqa hai
jise zabān mahsūs kar rahī hai
ye chiiz nahīñ koī aur āvāz hai
jo band khiḌkī se Takrā rahī hai
jo muqaffal darvāze par dastak de rahī hai
ye havā hai
jo tumheñ apne saath le jā.egī
aur paanī hai
jo sab kuchh bahā ke le jaatā hai
ye ḳhvāb hai
jo hamesha nazar aatā hai
aur mohabbat hai
jo sab kuchh tabāh nahīñ hone detī
ye aansu nahin koi aur chiz hai
jo tumhaari aankhon se bah rahi hai
ye namak nahin kisi aur shai ka zaiqa hai
jise zaban mahsus kar rahi hai
ye chiz nahin koi aur aawaz hai
jo band khiDki se Takra rahi hai
jo muqaffal darwaze par dastak de rahi hai
ye hawa hai
jo tumhein apne sath le jaegi
aur pani hai
jo sab kuchh baha ke le jata hai
ye KHwab hai
jo hamesha nazar aata hai
aur mohabbat hai
jo sab kuchh tabah nahin hone deti
- Book : saarii nazmen (Pg. 708)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.