ye bachcha kis ka bachcha hai
Interesting Fact
habsha yaa ereteriya ke qaht-zada ilaaqon men zindagii ki arzaani dekh kar ye nazm wajud men aai . jahaan insaano.n aur maveshiyon ke galle daane aur paani ki talaash men bhatakte bhatakte gir kar jaan de dete hain . ibn-e-inshaa ki is nazm kaa intisaab unicef ke naam hai jo duniya bhar men bhuke bachchon ke liye qabil-e-qadr kaarnaama anjaam de rahi hai.
1
ye bachcha kaisā bachcha hai
ye bachcha kaalā kaalā sā
ye kaalā sā maTiyālā sā
ye bachcha bhūkā bhūkā sā
ye bachcha sūkhā sūkhā sā
ye bachcha kis kā bachcha hai
ye bachcha kaisā bachcha hai
jo ret pe tanhā baiThā hai
nā is ke peT meñ roTī hai
nā is ke tan par kapḌā hai
nā is ke sar par Topī hai
nā is ke pair meñ juutā hai
nā is ke paas khilaunoñ meñ
koī bhālū hai, koī ghoḌā hai
nā is kā jī bahlāne ko
koī lorī hai, koī jhūlā hai
nā is kī jeb meñ dhelā hai
nā is ke haath meñ paisā hai
nā is ke ammī abbū haiñ
nā is kī aapā ḳhālā hai
ye saare jag meñ tanhā hai
ye bachcha kaisā bachcha hai
2
ye sahrā kaisā sahrā hai
nā is sahrā meñ bādal hai
nā is sahrā meñ barkhā hai
nā is sahrā meñ baalī hai
nā is sahrā meñ ḳhoshā hai
nā is sahrā meñ sabza hai
nā is sahrā meñ saayā hai
ye sahrā bhuuk kā sahrā hai
ye sahrā maut kā sahrā hai
3
ye bachcha kaise baiThā hai
ye bachcha kab se baiThā hai
ye bachcha kyā kuchh pūchhtā hai
ye bachcha kyā kuchh kahtā hai
ye duniyā kaisī duniyā hai
ye duniyā kis kī duniyā hai
4
is duniyā ke kuchh TukḌoñ meñ
kahīñ phuul khile kahīñ sabza hai
kahīñ bādal ghir ghir aate haiñ
kahīñ chashma hai kahīñ dariyā hai
kahīñ ūñche mahl aTāriyāñ haiñ
kahīñ mahfil hai kahīñ melā hai
kahīñ kapḌoñ ke bāzār saje
ye resham hai ye diibā hai
kahīñ ġhalle ke ambār lage
sab gehūñ dhaan muhayyā hai
kahīñ daulat ke sandūq bhare
haañ tāñbā sonā ruupā hai
tum jo māñgo so hāzir hai
tum jo chāho so miltā hai
is bhuuk ke dukh kī duniyā meñ
ye kaisā sukh kā sapnā hai
vo kis dhartī ke TukḌe haiñ
ye kis duniyā kā hissa hai
5
ham jis aadam ke beTe haiñ
ye us aadam kā beTā hai
ye aadam ek hī aadam hai
ye gorā hai yā kaalā hai
ye dhartī ek hī dhartī hai
ye duniyā ek hī duniyā hai
sab ik daatā ke bande haiñ
sab bandoñ kā ik daatā hai
kuchh pūrab pachchham farq nahīñ
is dhartī par haq sab kā hai
6
ye tanhā bachcha be-chāra
ye bachcha jo yahāñ baiThā hai
is bachche kī kahīñ bhuuk miTe
(kyā mushkil hai ho saktā hai)
is bachche ko kahīñ duudh mile
(haañ duudh yahāñ bahterā hai)
is bachche kā koī tan Dhāñke
(kyā kapḌoñ kā yahāñ toḌā hai)
is bachche ko koī god meñ le
(insān jo ab tak zinda hai)
phir dekhe kaisā bachcha hai
ye kitnā pyārā bachcha hai
7
is jag meñ sab kuchh rab kā hai
jo rab kā hai vo sab kā hai
sab apne haiñ koī ġhair nahīñ
har chiiz meñ sab kā sājhā hai
jo baḌhtā hai jo ugtā hai
vo daanā hai yā meva hai
jo kapḌā hai jo kambal hai
jo chāñdī hai jo sonā hai
vo saarā hai is bachche kā
jo terā hai jo merā hai
ye bachcha kis kā bachcha hai
ye bachcha sab kā bachcha hai!
1
ye bachcha kaisa bachcha hai
ye bachcha kala kala sa
ye kala sa maTiyala sa
ye bachcha bhuka bhuka sa
ye bachcha sukha sukha sa
ye bachcha kis ka bachcha hai
ye bachcha kaisa bachcha hai
jo ret pe tanha baiTha hai
na is ke peT mein roTi hai
na is ke tan par kapDa hai
na is ke sar par Topi hai
na is ke pair mein juta hai
na is ke pas khilaunon mein
koi bhaalu hai, koi ghoDa hai
na is ka ji bahlane ko
koi lori hai, koi jhula hai
na is ki jeb mein dhela hai
na is ke hath mein paisa hai
na is ke ammi abbu hain
na is ki aapa KHala hai
ye sare jag mein tanha hai
ye bachcha kaisa bachcha hai
2
ye sahra kaisa sahra hai
na is sahra mein baadal hai
na is sahra mein barkha hai
na is sahra mein baali hai
na is sahra mein KHosha hai
na is sahra mein sabza hai
na is sahra mein saya hai
ye sahra bhuk ka sahra hai
ye sahra maut ka sahra hai
3
ye bachcha kaise baiTha hai
ye bachcha kab se baiTha hai
ye bachcha kya kuchh puchhta hai
ye bachcha kya kuchh kahta hai
ye duniya kaisi duniya hai
ye duniya kis ki duniya hai
4
is duniya ke kuchh TukDon mein
kahin phul khile kahin sabza hai
kahin baadal ghir ghir aate hain
kahin chashma hai kahin dariya hai
kahin unche mahl aTariyan hain
kahin mahfil hai kahin mela hai
kahin kapDon ke bazar saje
ye resham hai ye diba hai
kahin ghalle ke ambar lage
sab gehun dhan muhayya hai
kahin daulat ke sanduq bhare
han tanba sona rupa hai
tum jo mango so hazir hai
tum jo chaho so milta hai
is bhuk ke dukh ki duniya mein
ye kaisa sukh ka sapna hai
wo kis dharti ke TukDe hain
ye kis duniya ka hissa hai
5
hum jis aadam ke beTe hain
ye us aadam ka beTa hai
ye aadam ek hi aadam hai
ye gora hai ya kala hai
ye dharti ek hi dharti hai
ye duniya ek hi duniya hai
sab ek data ke bande hain
sab bandon ka ek data hai
kuchh purab pachchham farq nahin
is dharti par haq sab ka hai
6
ye tanha bachcha be-chaara
ye bachcha jo yahan baiTha hai
is bachche ki kahin bhuk miTe
(kya mushkil hai ho sakta hai)
is bachche ko kahin dudh mile
(han dudh yahan bahtera hai)
is bachche ka koi tan Dhanke
(kya kapDon ka yahan toDa hai)
is bachche ko koi god mein le
(insan jo ab tak zinda hai)
phir dekhe kaisa bachcha hai
ye kitna pyara bachcha hai
7
is jag mein sab kuchh rab ka hai
jo rab ka hai wo sab ka hai
sab apne hain koi ghair nahin
har chiz mein sab ka sajha hai
jo baDhta hai jo ugta hai
wo dana hai ya mewa hai
jo kapDa hai jo kambal hai
jo chandi hai jo sona hai
wo sara hai is bachche ka
jo tera hai jo mera hai
ye bachcha kis ka bachcha hai
ye bachcha sab ka bachcha hai!
- Book : Is Basti ke ik Kooche Men (Pg. 193)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.