ye bastiyan viran nahin
nahīñ ye bastiyāñ vīrāñ nahīñ
ab bhī yahāñ kuchh log rahte haiñ
ye vo haiñ jo kabhī
zaḳhm-e-vafā bāzār tak aane nahīñ dete
yahāñ kuchh ḳhvāb haiñ
jo saañs lete haiñ
javān ḳhvāboñ ko tum dekho to Dar jaao
falak āsār bām-o-dar
yahāñ vaq.at nahīñ rakhte
kulāh-o-zar yahāñ qīmat nahīñ rakhte
ye kitne log haiñ
be-nām haiñ be-lāg haiñ
be-sāḳhta jiine ke tālib haiñ
ye dil ke bojh kā ahvāl
apne harf ḳhud likhne ke tālib haiñ
ujāle kī saḳhī kirnoñ ko
zindāñ se rihā.ī do
nahin ye bastiyan viran nahin
ab bhi yahan kuchh log rahte hain
ye wo hain jo kabhi
zaKHm-e-wafa bazar tak aane nahin dete
yahan kuchh KHwab hain
jo sans lete hain
jawan KHwabon ko tum dekho to Dar jao
falak aasar baam-o-dar
yahan waqat nahin rakhte
kulah-o-zar yahan qimat nahin rakhte
ye kitne log hain
be-nam hain be-lag hain
be-saKHta jine ke talib hain
ye dil ke bojh ka ahwal
apne harf KHud likhne ke talib hain
ujale ki saKHi kirnon ko
zindan se rihai do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.