Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ye bhi ghalat hai wo bhi ghalat

Ahmad Hatib Siddiqi

ye bhi ghalat hai wo bhi ghalat

Ahmad Hatib Siddiqi

MORE BYAhmad Hatib Siddiqi

    kal bāzār meñ bhayyā shāfī

    piine aa.e ThanDī coffē

    ik do packet biscuit khaa.e

    Thūñs ga.e do darjan toffē

    aalū chhole khā kar bole

    barfī ek kilo hai kaafī

    ammī baat na maanī

    abbū se va.ada-ḳhilāfī

    aisā khaTkā peT maTkā

    allāh muāfī allāh muāfī

    guDDū bhī haal sunā.eñ

    duudh piyeñ na anDe khā.eñ

    phal tarkārī ek na bhaa.e

    ġhusse meñ bas hoñT chabā.eñ

    dekh ke dastar-ḳhvān pe machhlī

    paañv paTaḳhte bhāge jaa.eñ

    chāval roTī gosht boTī

    dekheñ to naḳhre dikhlā.eñ

    din ho raat khānā

    ro.eñ pīTeñ shor machā.eñ

    duble patle rūkhe sūkhe

    baat karo to laḌne aa.eñ

    itne halke phulke se haiñ

    fan chale to uḌ jaa.eñ

    kal bazar mein bhayya shafi

    pine aae ThanDi coffee

    ek do packet biscuit khae

    Thuns gae do darjan toffee

    aalu chhole kha kar bole

    barfi ek kilo hai kafi

    ammi ji ki baat na mani

    abbu se ki wada-KHilafi

    aisa khaTka peT ka maTka

    allah muafi allah muafi

    guDDu ka bhi haal sunaen

    dudh piyen na anDe khaen

    phal tarkari ek na bhae

    ghusse mein bas honT chabaen

    dekh ke dastar-KHwan pe machhli

    panw paTaKHte bhage jaen

    chawal roTi gosht ki boTi

    dekhen to naKHre dikhlaen

    din ka ho ya raat ka khana

    roen piTen shor machaen

    duble patle rukhe sukhe

    baat karo to laDne aaen

    itne halke phulke se hain

    fan chale to uD hi jaen

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now