ye december hai
suno maiñ jāntī huuñ ye december hai
vahāñ sardī bahut hogī
akele shaam ko jab tum thake qadmoñ se lauToge
to ghar meñ koī bhī laḌkī
sulagtī muskurāhaT se
tumhārī is thakāvaT ko
tumhāre coat par Thahrī huī bārish kī būñdoñ ko
sameTegī na jhāḌegī
na tum se coat le kar vo kisī kursī ke hatthe par
use laTkā ke apne narm hāthoñ se
chhuegī is tarah jaise tumhārā lams paatī ho
tum ātish-dān ke aage simaT kar baiTh jāoge
to aisā bhī nahīñ hogā
tumhāre paas vo aa kar
bahut hī garm coffē kā zarā sā ghūñT ḳhud le kar
vo coffē tum ko de kar tum se ye pūchhe
kaho kyā thak ga.e ho tum
tum apnī ḳhālī āñkhoñ se
yuuñ apne sard kamre ko jo dekhoge to sochoge
ThiThur kar rah gayā sab kuchh
tumhārī uñgliyoñ kī sard poroñ par
kisī ruḳhsār kī narmī
kisī ke hoñT kī garmī
tumheñ be-sāḳhta mahsūs to hogī
magar phir sard mausam kī havā kā ek hī jhoñkā
tumheñ behāl kar degā
thake haare ThiThurte sard bistar par
akele leT jāoge
suno main jaanti hun ye december hai
wahan sardi bahut hogi
akele sham ko jab tum thake qadmon se lauToge
to ghar mein koi bhi laDki
sulagti muskurahaT se
tumhaari is thakawaT ko
tumhaare coat par Thahri hui barish ki bundon ko
sameTegi na jhaDegi
na tum se coat le kar wo kisi kursi ke hatthe par
use laTka ke apne narm hathon se
chhuegi is tarah jaise tumhaara lams pati ho
tum aatish-dan ke aage simaT kar baiTh jaoge
to aisa bhi nahin hoga
tumhaare pas wo aa kar
bahut hi garm coffee ka zara sa ghunT KHud le kar
wo coffee tum ko de kar tum se ye puchhe
kaho kya thak gae ho tum
tum apni KHali aankhon se
yun apne sard kamre ko jo dekhoge to sochoge
ThiThur kar rah gaya sab kuchh
tumhaari ungliyon ki sard poron par
kisi ruKHsar ki narmi
kisi ke honT ki garmi
tumhein be-saKHta mahsus to hogi
magar phir sard mausam ki hawa ka ek hi jhonka
tumhein behaal kar dega
thake haare ThiThurte sard bistar par
akele leT jaoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.