ye dharti KHub-surat hai
nahīñ fārūqī! is dhartī ko maiñ hargiz na chhoḌūñgā
mujhe jis daur ne paalā hai, vo be-shak purānā hai
mujhe mahbūb ab bhī ahd-e-rafta kā fasāna hai
magar ye daur-e-nau
ye zau
shuā-e-āgahī kī rau
maiñ itnī ḳhūb-sūrat zindagī se muñh na moḌūñgā
ajal bar-haq sahī lekin
rahegā jab talak mumkin
maiñ chāhūñgā ki lipTā hī rahūñ dhartī ke dāman se
ye dhartī āsmānoñ se ziyāda ḳhūb-sūrat hai
ye mahbūba hai
is meñ maañ kī shafqat kī bhī azmat hai
zabardastī jo maut aa.ī
(vo aatī hai aur ā.egī)
to maiñ koshish karūñgā to shāḳh-hā-e-lāla-o-gul ko
jakaḌ luuñ apne hāthoñ se
gulāboñ se kahūñgā tum abhī mujh ko na jaane do
agar haarā to is duniyā kī saarī dilkashī le kar
zamīñ kī god hī meñ ek gahrī niiñd so lūñgā
maiñ mahbūba nahīñ maañ se kahūñgā phir jagā denā
baḌā ziddī sā bālak huuñ
maiñ terī god se ḳhud shola-e-gul ban ke ubharūñgā!
ajab aalam thā
aur maiñ āsmāñ se saḳht barham thā
ḳhudā ko gāliyoñ par gāliyāñ dene meñ khoyā thā
ki munnī ne kahā ''dekho ḳhudā ne mujh ko bhejā hai''
magar is vaqt munnī bhī mujhe manhūs lagtī thī
mahīne guzre fārūqī!
magar ab sochtā huuñ maiñ
koī maane na maane ik ḳhudā hai naam jo bhī ho!
na umr-e-ishq baaqī hai
na mai-ḳhāna na paimāna
na nazroñ meñ
kisī shahnāz-e-lāla-ruḳh kā kāshāna
to kyā hamd o salām o na.at likkhūñ ye nahīñ mumkin
to masjid hī karūñ ābād kuchh karnā zarūrī hai
ḳhudā bhī mujh ko kāhil pā ke phir barham na ho jaa.e
magar fārūqī! duniyā aaj behad ḳhūb-sūrat hai
ba-īñ umr-e-tābī.ī mujh ko bhī us kī zarūrat hai
ḳhudā fankār hai vo bhī yaqīnan chāhtā hogā
ki dekhe us kī san.at se kise kitnī mohabbat hai
agar maiñ is zamīñ aur is kī ra.anā.ī ko apnā luuñ
to merā dil ye kahtā hai ki ye bhī ik ibādat hai
abhī ye sochtā huuñ kal ḳhudā hī jaane kyā sochūñ
musalsal sochte rahnā mirī bachpan kī aadat hai
divālī aur sub.h-e-īd fārūqī! mubārak ho
mujhe chhoḌo meñ jis aalam meñ huuñ vo merī qismat hai!!
nahin faruqi! is dharti ko main hargiz na chhoDunga
mujhe jis daur ne pala hai, wo be-shak purana hai
mujhe mahbub ab bhi ahd-e-rafta ka fasana hai
magar ye daur-e-nau
ye zau
shua-e-agahi ki rau
main itni KHub-surat zindagi se munh na moDunga
ajal bar-haq sahi lekin
rahega jab talak mumkin
main chahunga ki lipTa hi rahun dharti ke daman se
ye dharti aasmanon se ziyaada KHub-surat hai
ye mahbuba hai
is mein man ki shafqat ki bhi azmat hai
zabardasti jo maut aai
(wo aati hai aur aaegi)
to main koshish karunga to shaKH-ha-e-lala-o-gul ko
jakaD lun apne hathon se
gulabon se kahunga tum abhi mujh ko na jaane do
agar haara to is duniya ki sari dilkashi le kar
zamin ki god hi mein ek gahri nind so lunga
main mahbuba nahin man se kahunga phir jaga dena
baDa ziddi sa baalak hun
main teri god se KHud shola-e-gul ban ke ubharunga!
ajab aalam tha
aur main aasman se saKHt barham tha
KHuda ko galiyon par galiyan dene mein khoya tha
ki munni ne kaha dekho KHuda ne mujh ko bheja hai
magar is waqt munni bhi mujhe manhus lagti thi
mahine guzre faruqi!
magar ab sochta hun main
koi mane na mane ek KHuda hai nam jo bhi ho!
na umr-e-ishq baqi hai
na mai-KHana na paimana
na nazron mein
kisi shahnaz-e-lala-ruKH ka kashana
to kya hamd o salam o nat likkhun ye nahin mumkin
to masjid hi karun aabaad kuchh karna zaruri hai
KHuda bhi mujh ko kahil pa ke phir barham na ho jae
magar faruqi! duniya aaj behad KHub-surat hai
ba-in umr-e-tabii mujh ko bhi us ki zarurat hai
KHuda fankar hai wo bhi yaqinan chahta hoga
ki dekhe us ki sanat se kise kitni mohabbat hai
agar main is zamin aur is ki ranai ko apna lun
to mera dil ye kahta hai ki ye bhi ek ibaadat hai
abhi ye sochta hun kal KHuda hi jaane kya sochun
musalsal sochte rahna meri bachpan ki aadat hai
diwali aur subh-e-id faruqi! mubarak ho
mujhe chhoDo mein jis aalam mein hun wo meri qismat hai!!
- Book : aazaadii ke baad delhi men urdu nazm (Pg. 163)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.