ye dilli
sadiyoñ kī hikāyat kā kirdār hai dillī
tārīḳh ke fankār kā shahkār hai dillī
tahzīb-o-tamaddun kā rivāyāt kā markaz
iqlīm-e-vafā qibla-e-aqdār hai dillī
qarnoñ kī saqāfat hai yahāñ ab bhī humaktī
har daur kā gahvāra-e-āsār hai dillī
ujḌī hai ka.ī baar to ubhrī hai ka.ī baar
ai gardish-e-daurāñ tirā ākār hai dillī
mahbūb hai har zāviya-e-naqd-o-nazar kī
vo shoḳh vo tannāz vo tarrār hai dillī
ye 'mīr' kā 'ġhālib' kā ye 'momin' kā vatan hai
urdu-e-muallā kā alam-dār hai dillī
ye 'zauq'-o-'zafar' 'dard' ke naġhmāt kī dhartī
aur 'dāġh' se bulbul kā chaman-zār hai dillī
'kaifī'-o-'munavvar' se ka.ī ahl-e-zabāñ kā
ḳhum-ḳhāna-e-sar-mastī-e-ash.ār hai dillī
har sub.h ye āhang hai nāqūs-o-azāñ kā
har shaam ka.ī saaz kī jhankār hai dillī
jamunā ke kināroñ pe liye husn-e-tanāsub
tasvīr-e-javāñ-ġhār-o-barāñ-ġhār hai dillī
lamhoñ meñ sameTe hue barsoñ kī murādeñ
ik paikar-e-sad-shoḳhī-e-raftār hai dillī
sadiyon ki hikayat ka kirdar hai dilli
tariKH ke fankar ka shahkar hai dilli
tahzib-o-tamaddun ka riwayat ka markaz
iqlim-e-wafa qibla-e-aqdar hai dilli
qarnon ki saqafat hai yahan ab bhi humakti
har daur ka gahwara-e-asar hai dilli
ujDi hai kai bar to ubhri hai kai bar
ai gardish-e-dauran tera aakar hai dilli
mahbub hai har zawiya-e-naqd-o-nazar ki
wo shoKH wo tannaz wo tarrar hai dilli
ye 'mir' ka 'ghaalib' ka ye 'momin' ka watan hai
urdu-e-mualla ka alam-dar hai dilli
ye 'zauq'-o-'zafar' 'dard' ke naghmat ki dharti
aur 'dagh' se bulbul ka chaman-zar hai dilli
'kaifi'-o-'munawwar' se kai ahl-e-zaban ka
KHum-KHana-e-sar-masti-e-ashaar hai dilli
har subh ye aahang hai naqus-o-azan ka
har sham kai saz ki jhankar hai dilli
jamuna ke kinaron pe liye husn-e-tanasub
taswir-e-jawan-ghaar-o-baran-ghaar hai dilli
lamhon mein sameTe hue barson ki muraden
ek paikar-e-sad-shoKHi-e-raftar hai dilli
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.