ye din
yahī din to azal se merī qismat thā
magar āñkhoñ meñ sahrā ne bharī vo ret
sab tārīk lagtā thā
maiñ kitne hī sarāboñ aur azāboñ se thī guzrī
ḳhushk hoñToñ par duā.eñ bhī nahīñ thiiñ
abhī to āsmāñ dekhā thā maiñ ne
nishāñ tak bhī nahīñ thā bādaloñ kā
ajab din hai
sar-e-sahrā hai vo jal-thal
ki ham yuuñ
bhīgte chhīñTe uḌāte
muskurāte manzaroñ ke ā.īne meñ
dekhte haiñ aks
jo āñkhoñ meñ khulte haiñ!
ragoñ meñ sā.atoñ kī
ek sarshārī samā.ī hai
yahī ik din to merī zindagī bhar kī kamā.ī hai
isī kī kokh se ubhreñge
sad-hā muskurāte din
bhulā baiThe vo saal o sin
ki jab is zindagī ko ek pal fursat nahīñ thī
aa ke mil letī
ye dekho! zindagī ne aaj ḳhud aa ke pukārā hai
yaqīñ hai
ab se har lamha hamārā hai!
yahi din to azal se meri qismat tha
magar aankhon mein sahra ne bhari wo ret
sab tarik lagta tha
main kitne hi sarabon aur azabon se thi guzri
KHushk honTon par duaen bhi nahin thin
abhi to aasman dekha tha main ne
nishan tak bhi nahin tha baadalon ka
ajab din hai
sar-e-sahra hai wo jal-thal
ki hum yun
bhigte chhinTe uDate
muskuraate manzaron ke aaine mein
dekhte hain aks
jo aankhon mein khulte hain!
ragon mein saaton ki
ek sarshaari samai hai
yahi ek din to meri zindagi bhar ki kamai hai
isi ki kokh se ubhrenge
sad-ha muskuraate din
bhula baiThe wo sal o sin
ki jab is zindagi ko ek pal fursat nahin thi
aa ke mil leti
ye dekho! zindagi ne aaj KHud aa ke pukara hai
yaqin hai
ab se har lamha hamara hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.