ye ek mohabbat hai
shāyad ye ek
tavīl ḳhat kā ḳhulāsa hai
jo tum tak nahīñ pahuñch sakegā
ek nā-mukammal kahānī kā iqtibās
jise tum nahīñ sun sakoge
shāyad ye tumhāre liye likhī jaane vaalī taqrīr kā ibtidā.ī hissa hai
yā us giit ke bol
jo sirf almaiya mauqoñ par gaayā jaatā hai
yā vo paiġhām jise saarī duniyā meñ
baar baar dohrāyā jaatā hai
ye aañsū hai jo marne vāloñ kī
jeb se barāmad hotā hai
ye ek tiir hai
jo zinda rahne vāloñ ke dil meñ hamesha paivast rahtā hai
ek talvār jis se āñkheñ nikālī jā saktī haiñ
aur ek pistol jo sirf
kanpaTī par rakh ke chalā.ī jaatī hai
ye ek sitāra hai jo bārish ke ba.ad numūdār hotā hai
ek bādal jo kabhī numūdār nahīñ hotā
aur ek mohabbat jo sitāroñ aur bādaloñ meñ
chhupne kī koshish kartī rahtī hai
shayad ye ek
tawil KHat ka KHulasa hai
jo tum tak nahin pahunch sakega
ek na-mukammal kahani ka iqtibas
jise tum nahin sun sakoge
shayad ye tumhaare liye likhi jaane wali taqrir ka ibtidai hissa hai
ya us git ke bol
jo sirf almaiya mauqon par gaya jata hai
ya wo paigham jise sari duniya mein
bar bar dohraya jata hai
ye aansu hai jo marne walon ki
jeb se baramad hota hai
ye ek tir hai
jo zinda rahne walon ke dil mein hamesha paiwast rahta hai
ek talwar jis se aankhen nikali ja sakti hain
aur ek pistol jo sirf
kanpaTi par rakh ke chalai jati hai
ye ek sitara hai jo barish ke baad numudar hota hai
ek baadal jo kabhi numudar nahin hota
aur ek mohabbat jo sitaron aur baadalon mein
chhupne ki koshish karti rahti hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 703)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.