ye fasl umidon ki hamdam
sab kaaT do
bismil paudoñ ko
be-āb sisakte mat chhoḌo
sab noch lo
bekal phūloñ ko
shāḳhoñ pe bilakte mat chhoḌo
ye fasl umīdoñ kī hamdam
is baar bhī ġhārat jā.egī
sab mehnat sub.hoñ shāmoñ kī
ab ke bhī akārat jā.egī
khetī ke konoñ-khudroñ meñ
phir apne lahū kī khaad bharo
phir miTTī sīñcho ashkoñ se
phir aglī rut kī fikr karo
phir aglī rut kī fikr karo
jab phir ik baar ujaḌnā hai
ik fasl pakī to bharpāyā
jab tak to yahī kuchh karnā hai
sab kaT do
bismil paudon ko
be-ab sisakte mat chhoDo
sab noch lo
bekal phulon ko
shaKHon pe bilakte mat chhoDo
ye fasl umidon ki hamdam
is bar bhi ghaarat jaegi
sab mehnat subhon shamon ki
ab ke bhi akarat jaegi
kheti ke konon-khudron mein
phir apne lahu ki khad bharo
phir miTTi sincho ashkon se
phir agli rut ki fikr karo
phir agli rut ki fikr karo
jab phir ek bar ujaDna hai
ek fasl paki to bharpaya
jab tak to yahi kuchh karna hai
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 282)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.