ye haweli gir rahi hai
gumbadoñ ko dhuup kī lambī zabāneñ khā ga.ī haiñ
sahn meñ zanjīr se jakḌe hue ḳhārish-zada
bīmār kutte
bhūñkte haiñ
aur chhappar uḌ rahe haiñ
sard-āvar tārīk kamroñ meñ bichhe qālīn
malba sūñghte haiñ
uun aur resham ke rañgīñ phuul
murjhāne lage haiñ
aur ab ḳhuuñ bhī nahīñ hai
jis se sīñchā jaa.e un ko
ik kabūtar is havelī se khulī niilī fazā meñ
uḌ gayā hai
aur kutte bhūñkte haiñ
gumbadon ko dhup ki lambi zabanen kha gai hain
sahn mein zanjir se jakDe hue KHarish-zada
bimar kutte
bhunkte hain
aur chhappar uD rahe hain
sard-awar tarik kamron mein bichhe qalin
malba sunghte hain
un aur resham ke rangin phul
murjhane lage hain
aur ab KHun bhi nahin hai
jis se sincha jae un ko
ek kabutar is haweli se khuli nili faza mein
uD gaya hai
aur kutte bhunkte hain
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 486)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.