ye kaisa raegan sa
intizār sauñpā hai tum ne
na koī harf-e-dildārī
ki jis ko dohrāte hue
sabhī phīke se din
kāsnī beloñ se
Dhak jaa.eñ
na koī lams kī utran
ki
jis ko oḌh ke
maiñ shaam ke pahlū meñ
baiThī tumhāre vasl
ke kuchh ḳhvāb hī
kāḌhūñ
na koī bosa-e-ummīd
mere māthe pe mahkā
ki jis kī lau meñ
merī nazmeñ
raat bhar raqs kartī hoñ
tumheñ yaad kartī hoñ
mire mahbūb
kaisā rā.egāñ sā
intizār sauñpā hai
merī uḌaan se
rahte haiñ ḳhā.if
jo mere par katar ke
shādmāñ haiñ
mirī siine meñ haiñ
sātoñ samundar
mirī āñkhoñ meñ sātoñ
āsmāñ haiñ
intizar saunpa hai tum ne
na koi harf-e-dildari
ki jis ko dohraate hue
sabhi phike se din
kasni belon se
Dhak jaen
na koi lams ki utran
ki
jis ko oDh ke
main sham ke pahlu mein
baiThi tumhaare wasl
ke kuchh KHwab hi
kaDhun
na koi bosa-e-ummid
mere mathe pe mahka
ki jis ki lau mein
meri nazmen
raat bhar raqs karti hon
tumhein yaad karti hon
mere mahbub
kaisa raegan sa
intizar saunpa hai
meri uDan se
rahte hain KHaif
jo mere par katar ke
shadman hain
meri sine mein hain
saton samundar
meri aankhon mein saton
aasman hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.